Swimming Pool Toh Hai But Koi Coach Nahi – Indian Swimming News

Iss Government School Ke Students Ke Liye Kam Se Kam Swimming Ke Mamle Me Toh Private Schools Ke Barabari Ka Chance Dikh Raha Hai Lekin Red-Tape Ke Chakkar Me Unka Ye Dream Kho Sakta Hai.

Swimming Pool Wala State Ka One And Only Government School, Apne School Ke Liye Coach Ka Wait Kar Raha Hai. School Of Eminence, Sector 32, Chandigarh Road (Indrapuri) State Ka One And Only Government School Hai Jisme Swimming Pool Hai, Iske Alawa Aur Kisi Bhi School Me Swimming Pool Nahi Hai. Iss School Me Swimming Pool Hone Ke Baad Bhi Last Three Months Se Koi Coach Present Nahi Hai.

8.1 Crores Ki Worth Se Bane Is School Ki Building Me Students Ke Liye Pahla Swimming Pool Banaya Gaya Hai. Iska Inauguration Punjab Ke Vartman Cm Bhagwant Maan And Delhi Ke Cm Arvind Kejriwal Ne 3 March 2024 Ko Kiya Tha. Tab Se Hi School Me Swimming Sikhane Ke Liye Koi Coach Nahi Hai. Inauguration Ke Kuch Din Baad Pahle Hi Temporary Basis Pe Ak Trainer Ko Appoint Kiya Gaya Tha, Jo Students Ko Trained Karega. Inauguration Ke Din Officials Ke Saamne Students Ko Swimming Sikhayega. Matlab Sirf Dikhane Ke Liye Ak Din Ke Liye Ak Coach Ko Rakha Gaya Tha. Uske Baad Se School Me Koi Permanent Coach Hai Hi Nahi. Iske Alawa Dp Aur Pt Teachers Ki Posts Bhi Last Year Se Hi Vacant Pade Huye Hain.

School Ke Principal Jaswinder Singh Ne Kaha, “ Maine District Education Office Ko Swimming Coach Ki Requirement Ke Baare Me Likha Tha Aur Inauguration Se Pahle School Ke Inspection Ke Liye Aaye Secretary Education Ko Verbally Bhi Bataya Tha. Agar Hamare Paas Students Ke Liye Facilities Hain, Toh Unko Train Karne Ke Liye Coach Bhi Hona Chahiye.” Unhone Aage Kaha, “ Department Ne Hume Assure Kiya Tha Ki Wo Log Upcoming Session Me Coach Bhejenge, Lekin Model Code Of Conduct Enforce Ho Gaya Aur Sabhi Log Lok Sabha Elections Me Busy Ho Gaye.”

Soe Ke 1,600 Se Jada Students Me Se 30 To 35 Swimming Me Interested Hain Aur Pahle Se Hi Swimming Jaante Hain. Inn Students Me 6th To 10th Class Le 1,438 Students Aur E-Punjab Portal Par Registered 12 Students, 11th Class Ke 200 Students Aur New Enrolled Students Shaamil  Hain.

Inauguration Ke Time, School Authorities Ne Aise Students Ki List Banai Thi Jo Swimming Pahle Se Jaante The, But Unhone Kabhi Bhi Kisi State Level Ya National Level Ke Games Me Participate Nahi Kiya Tha. Students Me Se Ak Ne Kaha,” Maine Kabhi Professional Swimming Coaching Nahi Li Hai Lekin Mujhe Swimming Aati Hai. Mujhe Ye Jaankar Khushi Hui Thi Ki Mere School Me Swimming Pool Hoga, Lekin Inauguration Ke Baad Se Hume Swimming Ka Chance Nahi Mila. Agar Training Di Jaati Hai Toh Main Ise Paane Wala Pahla Person Hounga.” Agar Government School Khulne Se Pahle Ak Coach Ko Appoint Karti Hai Toh Students July And August Me Practice Kar Sakenge. Deputy Commissioner Sakshi Sahni Ne Kaha, “ Humne School Se Students Ke Naam Dene Ko Kaha Tha Taaki Ak Vyakti Students Ko Temporary Basis Pe Train Kar Sake. Jahan Tak Permanent Appointment Ki Baat Hai, Iss Issue Ko Unke Head Office Dwara Uthaya Gaya Hai.”

Indian Swimming News Or International Swimming News Padhne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:-SwimSwamHindi

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »