Jaisa Ki Aapko Pata Hai Ki Is Samay Kathmandu Mein Saf Games Chal Rahe Hai. Isi Saf Games Mein India Ki Chahat Arora Ne Apni Best Performance Dekar Best Performer Bani. National Record Todkar History Create Kar Chuki Chandigarh Ki Chahat Arora Ne 3 Medal Jeeta. Unhone India Ki Taraf Se Best Perform Karte Huye 2 Gold Aur 1 Silver Medal Jeeta.
50m Breaststroke Mein Chahat Ne 33.32 Ka Score Banate Huye Gold Medal Jeeta Aur Iske Baad 100m Breast Stroke Event Mein 1:13.52 Ka Time Late Huye Silver Medal Jeeta. Wahi 4*100m Medley Relay Event Mein Gold Achieve Kiya. In Teeno Competitions Mein Asia Ke Best Seimmers Ne Participate Kiya Tha.
Saf Games Mein Apni Country Ke Liye 3 Medal Jeetne Par Chahat Arora Ke Family Members, City Ke Swimmers Aur Unke Coach Kaafi Khus Hai Aur Proud Feel Kar Rahe Hai.
Chahat Arora Ne 2017 Mein Pune Mei Asian Championship Mein National Record Ko Break Kiya. Is Competition Mein 100m Backstroke Mein Country Ke Top Swimmers Ko Piche Karte Huye Record Banaya. Chahat Ne Sabse Behatreen 1:16.05 Ka Time Late Huye Ise Achieve Kiya. Is Performance Par Unhone Selectors Ko Bhi Shock Kar Diya.
Indian Swimming Or International Swimming Ke News Janne Ke Liye Facebook Par SwimSwam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:- SwimSwamHindi