“Sapne Sach Me Pure Hote Hai”- Indian Swimmer Nina Venkatesh

“Sapne Sach Mein Pure Hote Hai” Asian Games Mein Swimming Karne Par Nina Venkatesh Ne Kaha

Nina Venkatesh, Jo Ki India Ke Upcoming Swimmers Mein Se Ek Hai, Unhone Abhi Jaldi Hi 18-Year Ki Age Mein Asian Games Mein Apna Debut Bhi Kiya. Goa Mein Huye National Games Mein Apni Stellar Performance Ke Baad Unhone Ise Bhi Follow Up Kiya.

Nina Ne Hangzhou Mei Apne Surreal Experience, Goa Mein Unki Races, Aur Paris Mein Unke Aspirations Ke Baare Mein Bataya Hai Sportskeeda Ko Diye Haye Is Interview Mein, Aaiye Jaante Hai.

Asian Games Mein Apne Time Ko Recall Karte Huye, Nina Ne Overwhelming Emotions Ko Expressed Kiya. Unhone Years Ke Hard Work Aur Sacrifices Ko Acknowledge Karte Huye Kaha:

“Oh, My God. Itne Years Se Mai Swimming Kar Rahi Hun, Aur Kabhi Bhi Maine Khud Ko Peeth Par Shabashi Dete Huye Ye Nahi Kaha Ki , Good Job. Hum Athletes Bass Badhte Hi Rahte Hai. Ye Pahli Baar Tha Jisme Mujhe Laga Ki Sach Mein Itne Years Sacrifices, Itna Hard Work Ye Sab Isi Moment Ke Liye Tha.”

“Ye Sach Mei Bahot Shandar Tha,” Unhone Add Karte Huye Kaha. “Kabhi Kbhi Aap Apne Decision Par Hi Sawal Uthate Hai, Jaise Ki Kya Mujhe Swimming Karni Chahiye, Ya Mujhe Padhai Karni Chahiye, Ya Fir Mujhe Kuch Aur Karna Chahiye? But Nahi, Jab Mai Waha Thi Toh Maine Kuch Time Le Kar Ye Realise Kiya Ki Maine Kya Kar Liya Hai Kyu Ki Asian Games Ke Jaisa Kuch Bhi Aap Khud Ke Liye Kharid Nhi Sakte Hai, Yaha Tak Sirf Aapka Hardwork Hi Pahocha Sakta Hai.”

Nina Ne Ye Bhi Discuss Kiya Ki Kis Tarah Unhone Aane Wale Challenges Aur Difficulties Ko Overcome Kiya Aur Kis Tarah Unhone Goa Mei Season Ko High Note Par End Kiya.

“Haan, Unfortunately, Mere Naam Par Best Races Nhi Hai,” Nina Ne Kaha. Mai Two Events Mei Select Hui Thi. Mere Paas Best Experience Bhi Nhi Hai Q Ki Best Time Nhi Kiya Maine. But Ye Sab Sport Ka Part Hai Isliye Mai Is Par Gussa Bhi Nhi Hun. Maine Yaha Se Sikha Ki Wapas Aa Kar Un Galtiyo Ko Sudharna Hai Jo Maine I Thi. Aur Jab Maine Ye Kiya Toh Goa Mein Maine Best Time Bhi Score Kiya. Toh Ye Kah Sakte Hai Ki Maine Ye Season Good Note Pr End Kiya. Isliye Mai Khush Hun.”

Future Ke Baare Mein Baat Krte Huye Nina Ne Kaha Ki, “Mujhe Lagta Hai Ki Ab Mera Long Term Goal Olympics Hi Hai.”

Indian Swimming Or International Swimming Ke News Janne Ke Liye Facebook Par SwimSwam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:- Swimswamhindi

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
newest
oldest most voted
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »