Sanskar & Deeksha Ne National Swimming Ranking Championship Me Jeete Medals

Assam Ka Ladka Sanskar Bhuyan Ne National Ranking Swimming Championship Me 2 Medals Jeete  

Guwahati: Assam Ke Ladke Sanskar Bhuyan Ne Wednesday Ko Bhuvneshwar Ke Kalinga Aquatic Complex Me Aayojit National Ranking Swimming Championship Ke Last Day Pe 2 Medals Jeete, Jo Ki State Ke Liye Garv Ki Baat Hai.

Sanskar Ne 1500 Metres Freestyle Me 17:25.00 Ke Samay Ke Saath Ak Gold Medal Jeeta Aur 800 Metres Freestyle (9:09.00) Me Silver Medal Jeeta.

Isse Pahle, Assam Ki Budding Swimmer Subhragshini Priyadarshini Ne National Ranking Swimming Championship Me Ak Gold Medal Ke Saath 3 Medals Jeete.

Subhragshini Ne 200m Freestyle Me 02:11.86 Ke Samay Ke Saath Gold Medal Jeeta. Unhone 1500m Freestyle Me (18:23.12) Aur 800m Freestyle Me (9:32.43) Kr Samay Me Apne Khaate Me 2 Silver Medals Jode.

Iss Beech, Iss Saal Ki Starting Me Assam Ne Gwalior Me Hone Wali 32nd National Para Swimming Championship Me 5 Medals Jeete Jisme Se 2 Gold Medals The.

Yesmina Khatun Me Sub Junior Girls Ki Category Me Ak Gold Medal Aur Ak Silver Medal Jeeta, Jabki Krishna Das Ne Junior Boys Ki Category Me Second Gold Medal Jeeta.

On The Other Hand, Anowar Sikdar Ne Men’s Event Me Silver Medal Jeeta Aur Sajida Begum Ne Women’s Section Me Bronze Medal Jeeta.

National Swimming Ranking Championship: Deeksha Ne State Ke Liye 4 Medals Jeete

Ye Tournament Kalinga Stadium Ke Aquatic Centre Me 10 To 12 June Tak Aayojit Kiya Gaya Tha.

Chennai: National Games And Khelo India Youth Games Ki Medalist Deeksha Sivakumar Ne Odisha Me Hone Wale National Swimming Ranking Championship Me Tamil Nadu Ko Represent Karte Huye 4 Medals Secure Kiye.

Ye Tournament 10 To 12 June Tak Kalinga Stadium Ke Aquatic Centre Me Hua. Deeksha Ne 50m Freestyle Me, 100m Freestyle Me And 100m Backstroke Me Silver Medal Secure Kiya. Usne 50m Backstroke Me Bronze Medal Bhi Jeeta.

Deeksha Iss Time Bengaluru Ke Dolphin Aquatics Centre Me, Coach Nihar Ameen Kr Under Me Training Kar Rahi Hain. Unka Manna Hai Ki Ye Jeet Unko Motivate Karegi Aur Junior National Championships Jo Ki August Me Hone Wala Hai, Ke Andar Better Perform Karne Me Help Karegi.

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »