Quepem me govt-owned swimming pool me swimmers lambe time se poor water quality ke baare me complain kar rahe hain, ise unhealthy and unsafe batate hain.
Regular swimming karne wale kai logon ke according, last three months mein water quality kharab ho gayi hai, jisse swimming mushkil ho gayi hai. Wo iss baat se bhi pareshan hain ki kai baar yaad dilane ke baawjood authorities water quality improve nahi kar paaye hain.
Pool sports and Youth Affairs ke directorate dwara operate kiya jata hai.
“Paani saaf nahi hai. Aap dekh nahi sakte hain ki aap kahan ja rahe hain. Aap wall se takra sakte hain. Main ak regular swimmer hun lekin mujhe apni safety ka dar hai,” Quepem me regular swimmer 14 saal ke Soha Dalal ne kaha.
Kai School Nationals me participate karne wali national-level swimmer Soha ne kaha, “Chlorine ko pahle paani me dissolve karna chahiye aur phir pool me daalna chahiye. Yhan wo seedhe powder fekte hain. Ye achhi quality ka bhi nahi hai. Mujhe rashes ho gaye aur meri aankhein dukhne lagi.”
Yhan tak ki national-level swimmers bhi complaint kar rahe hain ki poor pool condition ki wajah se unki training hamper ho rahi hai.
Apne 9 saal ke bete ke saath regular swimmer banne wale Hansel Moniz ne dekha ki lifeguards, jo maintenance ka bhi kaam karte hain wo side lines ko clean nahi karte hain, jahan algae form hote hain.
“Jab ye baat unke notice me laai gayi toh unhone kaha ki ye do logon ka kaam hai aur isse bachte hain. In reality, ye sirf aadhe ghante ka kaam hai. Sirf isliye ki ye DSYA (Directorate of Sports and Youth Affairs) pool hai, wo iss tarah se kaam nahi karte hain jaise unhe karna chahiye. Agar kisi swimmer ko deep end me trouble ho rahi hai, toh lifeguard use dekh nahi payenge. Maintenance ke liye pool ko regularly close rakha jata hai, lekin unhone problem solve nahi kiya hai,” Moniz ne kaha.
Indian Swimming News Or International Swimming News Padhne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:-SwimSwamHindi