Pool Se Nafrat Karne Wali Stephens World Ki Best Player Ban Gayi

Jab Laura Stephens ki mulakat 9 varsh ki umra me Essex based swimming coach Michelle Young se pahli baar hui toh unhe paani me rahna bilkul bhi pasand nahi tha.

Ab, 24 years ki ye player 200 meter butterfly ki world champion and apne 2nd Olympic games ki or bash rahi hai.

Stephens ne BBC Essex ko bataya ki starting me unhe swimming bilkul v pasand nhi thi.

Starting me aankh me bahot saare aansun the, paani me jaane me aur especially face ko paani me daalne me maja nahi aaya.

Doha me 2024 Word Aquatics Championship me gold medal jeetne ke saath, Stephens 2011 me Rebecca Adlington ke baad pahli British female individual swimming world champion ban gayi.

Young ne BBC Essex ko bataya ki unhe paani ke saath us atmiyata ko paane ki jarurat thi, jab unhe wo mil gaya wo aage badh gayi.

2012 me jab British swimmers London me Olympic glory ke liye compete kar rahe the tab Stephens uss saal county championships me har event Jeet Rahi thi jinme unhone participate Kiya tha.

Stephens kahti hain unhone kuch medals se jeetna start Kiya . Rebecca Adlington ko pool me double gold jeette huye dekhna , Michael Phelps ko bhi 8 medals jeette huye dekhna, ye unke liye inspirational tha.

Stephens ne Tokyo 2020 me apna Olympic Debut kiya, apne semifinal me 6th place pe aur final me ak second se jagah banane se chook gayi.

Stephens kahti hain, Tokyo me unhone unhone waise perform nhi Kiya jaisa wo karna chahti thi.

Young, jinhone 9-14 ki age tak Stephen ko coaching di, 2012 Olympic qualifier me jab unhone pahla taste liya tha, tab swimmers ke saath the.

Young ne kaha, “Hume pahle bhi aur sabhi pools me jaane ki anumati thi hum podium me kood gaye aur bahot saari photos Li.”

Indian Swimming News Or International Swimming News Padhne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:-Swimswamhindi

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
newest
oldest most voted
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »