Olympic History Me Slowest 100m Freestyle Swimmer Ke Pichhe Ki Story

Aisa aksar nahi hota ki heat me qualify karne me fail hone wale athletes international fame achieve kar lein. Sydney 2000 me Eric Moussambani ke case me aisa hi hua.

Equatorial Guinea ke iss swimmer ne sports se keval 8 mahine pahle hi iss khel ko apnaya tha aur unhe wildcard ke through part lene ka invitation mila tha, jo IOC dwara unn countries ke athletes ko pradan kiya jata hai, jinke pass training facilities ki kami hai.

Sydney aane se pahle Moussambani ne kabhi Olympic size ka pool nahi dekha tha. Just imagine ki jab unhe 100 men’s freestyle heat me apne do rivals Nigeria ke Karin Bare and Tajikistan ke Farkhod Oripov ko false start ke liye disqualify kar diya gaya tha, toh unhe apni heat me akele hi compete karne ke liye force hona pada.

17000 se jyada logon ki bheed ne Eric ka moral support karte huye unhe cheer kiya kyunki wah pahle 50m me apni energy waste karne ke baad race poori karne ke liye struggle kar rahe the. Unhone 1:52.72 me race poori ki jo Olympic history me 100m freestyle me ab tak ka slowest time hai.

Indian Swimming News Or International Swimming News Padhne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:-SwimSwamHindi

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »