Yah Inspire Institute of Sports me haal hi me start huye ‘Mizuho Elite Programme’ ke tahat training ke liye 30 “high-potential” swimmers ko identify kiya gaya hai taaki unhe 2026 Asian Games and 2028 Olympic qualifiers ke liye prepare Kiya ja sake.
Iske liye Inspire Institute of Sports ne Mizuho Bank ke saath partnership ki hai. Dono entities ne swimming ko ak key sports ke roop me identify kiya hai jise grassroots level pe develop Kiya ja sakta hai and 30 swimmers ko support karne ke liye partnership announce Kiya hai.
2023 me start kiye gaye IIS Swimming Programme me two state of the art pools hain aur isme technical coaching, competition exposure, sports science, strength and conditioning, nutrition, education, mental health and residential facilities me support karne ka promise Kiya gaya hai.
Talented young swimmers Maana Patel, Kushagra Rawat, Ishaan Mehra, Astha, Choudhary, Ashmita Chandra, and Bikram Changmai iss programme ke part hain.
Maana Patel ne kaha ki ye partnership unhe apni potential ko realise karane me bahot helpful saabit hogi.
Unhone kaha, “main iss tarah ke programmes ka part bankar bahot khush hun. Mizuho ne generously donation ki hai, jisse hume globally various competitions me participate karne, pool ke liye heating plant and other various equipments kharidne ka chance milega.
IIS ke Founder Parth Jindal ne bhi yahi bhawna vyakt ki hai. Unhone kaha, “ isse India ko sporting superpower banane ke hamare mission ko energy milti hai. Hamare swimming programme me unka belief inspiring hai and main future ke liye excited hun.”
IIS ke CEO Rushdee Warley ne kaha, “Mizuho ka support hamare standards ko kaafi had tak raise karega. Hamari rapid growth and success Indian Sport par ak transformative impact ka promise karti hai.”
India me 28 years se jada time se functional and leading global bank Mizuho five branches and four entities ko operate karta hai, jinme Mizuho Bank and Mizuho Securities shaamil hain.
Mizuho ke Senior Managing Ddirector & Head- Corporate and Institutional Banking (India) Piyush Agarwal ne kaha, “ Hamara manna hai ki India apni youthful population ke saath global podium par apni jagah deserve karta hai. Sports resilience and team work jaise essential skills ko build karte hain aur hum iss initiative ke through kai logon ko inspire karne ki ummeed karte hain.”
Indian Swimming News Or International Swimming News Padhne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:-SwimSwamHindi