South Goa ke collector Egna Cleetus ne poore South Goa me swimming, bathing aur natural bodies me entry pe complete ban laga diya hai. Ye ban 60 dino tak laagu rahega. Iss order me waterfalls, abandoned quarries, rivers, lakes, and similar natural water bodies shaamil hain. Order me kaha gaya hai ki ye decision SP (South) ke recommendation ke baad liya gaya hai, jinhone monsoon ke during tourist and local recreation spots par baar-baar doobne ki taraf ishara kiya tha.
Last year Sanguem, Mormugao, and Dharbandora sahit kai ilakon me ghatak ghatnayen hui. Police ne primary safety hazards ke roop me unpredictable water depths, slippery terrain, and dangerous currents ka hawala diya. Existing warning signage ke baad bhi, ye locations visitors ko attract karna jaari rakhte hain jo unsafely unn tak pahochte hain.
Police inspectors and mamlatdars ko strict vigilance maintain rakhne aur prohibition ko diligently enforce karne ka order diya gaya hai. Order me kaha gaya hai ki violators ko Bharatiya Nyaya Sanhita, 2023 ke provisions ke tahat punishment face karna padega.
Indian Swimming News Or International Swimming News Padhne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:-SwimSwamHindi