Kya Ab 2020 National Games Bhi Ho Sakta Hai Postpone?

2020 National Games Jo Ki Goa Me 20 October Se 4 November Tak Hone Wala Hai Uspr Aab Sawal Uthna Shuru Ho Gye Hai Ki Kya Ab Wo Time Par Ho Payega Kyuki Desh Me Corona Ko Lekar Jo Halat Bigadte Jar He Hai Waise Me Agar October Tak Ye Mahamari Nahi Ruk Pati Hai To Ho Sakta Hai Ki 2020 National Games Postpone Ho Jaye. Goa Ki Government Ne 36th National Games Par Indian Olympic Association Se Clarification Mangne Ka Faisla Kiya Hai.

Sports Minister Manohar Ajgaonkar Ne Goa Ke CM Pramod Sawant Se Iss Mamle Ko IOA Ke Sath Uthane Ke Liye Kaha Hai.

Pandemic Corona Virus Ke Karan Pure Duniya Me Sabhi Prakar Ki Chizo Par Rok Si Lag Chuki Hai Jisme Khel Bhi Shamil Hai. INDIA Me Indian Premier League(IPL) Jaisi Big Event Bhi Ko Indefinitely Time Ke Liye Postpone Kar Diya Gya Hai.

Sports Minister Manohar Ajgaonkar Ne Herald Se Baat Karte Hue Btaya Ki “Sports Department Ne CM Ko Letter Likh Kar National Game Ke Future Par IOA Se Clarification Ki Mang Ki Hai” Unhone Aage Btaya Ki “Ham October Se November Me Hone Wali National Games Ko Organize Karne Ke Liye Tyar The Lekin Jo Hala Abhi India Ke Hai Usko Dekh Kar Aab Kuch Kaha Nahi Ja Sakta.”

CM Ne Kaha Ham National Games Ko Organize Kar To Le Lekin Uske Liye 3 Month Ka Advance Notice Chahiye Hoga, Khelo Ke Liye Hmara Basic Structure Tyar Hai Hamre Fields Bhi Tyar Hai Ham Kisi Bhi Time National Games Ko Organize Krane Ke Liye Puri Tarike Se Tyar Hai.

Indian Swimming Se Related Latest News Janne Ke Liye SwimSwam Hindi Ko Facebook Par Turrant Like Kare.

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »