Bahot Saare Parents Chahte Hai Ki Unke Kids Shape Mei Rahe. Hum Apne Kids Ko Encourage Kar Sakte Hai Running, Bicycle, Stretch, Yoga Ya Phir Other Activities Karne Ke Liye, Jab Tak Pools Closed Hai Tab Tak. But Sabse Important Question Toh Ye Aata Hai Ki Hum Unhe Ye Sab Chize Karne Ke Liye Kaise Motivate Kare?
Kids Ko Encourage Karne Ka Best Way Hai Ki Unse Phones Aur Video Games Thoda Dur Kare Lekin Ye Chiz Aap Unhe Threatening Ya Bribing Karke Nahi Balki Inspire Karke Kare. Hum Apne Routine Aur Physical Activity Ki Wajah Se Ek Accha Example Set Kar Sakte Hai. Aur Unhe Inspire Karne Ke Liye Ye Bhi Batana Chhaiye Ki Abhi Hard Work Karne Se Wo Future Mei Kitna Kuch Accomplish Kar Sakte Hai. Unhe Remind Karte Rahiye Ki Unhone Kitna Jyada Improve Kar Liya Hai Aur Journey Me Wo Kitna Aage Aa Chuke Hai. Agar Hum Unhe Bolenge Ki Unhe Running Aur Pushups Karna Chhaiye Toh Most Likely Hume Push Back Milega.
Maine Ye Ideas David Benzel Ki Growing Champions For Life Called “Solve The Mystery Of Your Child’s Motivation And Distraction Issues,” Se Learn Kiya Hai. Benzel Ne Discuss Kiya Ki Kitne Baar Hum Inspiration Aur Motivation Ke Beech Ke Difference Ko Miss Kar Dete Hai. Motivation, Unmet Need Ka Result Hota Hai. Agar Koi Need Nahi Hogi Toh Hume Increased Activity Bhi Nahi Dikhegi. Bemzel Ne Kaha Ki Motivation Ek “Inside Job” Hai. As Parents, Hum Childrens Ko Inspire Kar Sakte Hai But Motivate Nahi Kar Sakte Hai.
“Agar Hum Kisi Ke Liye Kuch Chahte Hai More Than They Want It Themselves, Toh Ye Utna Accha Nahi Hota Hai.” Ye Ek Accha Point Tha Jo Benzel Ne Bola. Agar Hum Apne Kids Ke Liye Koi Chiz Chahenge Jitna Wo Bhi Nahi Chahte, Toh Hume Disappointment Milega Aur Kids Ko Stress And Pressure Feel Hoga.
Kya Chiz Motivate Karti Hai Kisi Kaam Ko Acche Se Karne Ke Liye?
- Work Me Ek Pride Factor Hona Chahiye.
- Sense Of Accomplishment.
- Work Karte Wakt Enjoyment Jruri Hai.
- Recognition And Praise
- To Make A Difference
Swimming Me Kya Chiz Kids Ko Motivate Karte Hai?
- Kyuki Swimming Ke Fun Hai.
- Friends Ke Sath Rhne Ko Milta Hai.
- Ek New Skills Sikhne Ko Milti Hai.
- To Receive Attention And Recognition
- Competition Ka Ek Alag Ki Enjoyment Milta hai.
Ye Sabhi Reasons In-met Needs Hai Jo Ki Internalized Hai Aur Equally Valid Bhi. Hum Apne Children Ko Motivate Nahi Kar Sakte Hai Agar Ye Unki Unmet Need Nahi Hai Toh. Hum Unhe Good Example Set Kar Ke Encourage Aur Inspire Kar Sakte Hai, Unke Hard Work Ko Recognize Karte Huye Unke Liye Physically Aur Mentally Safe Environment Create Kar Sakte Hai.