Investigator Ne Chinese Swimmers Ke Doping Case Me Wada Ko Support Kiya

Ak Investigator Ne World Anti Doping Agency Dwara 23 Chinese Swimmers Se Jude Ak Case Ko Handle Karne Ko Support Kiya Hai, Jo Tokyo Games Se Kuchh Week Pahle Drug Test Me Fail Rahe The Aur Kaha Ki WADA Ne China Ke Prati Na Toh Koi Complacent Ki Hai Aur Na Hi Biasness Dikhai Hai.

Swiss Prosecutor Eric Cottier, Jinhe Global Anti-Doping Dwara Chuna Gaya Tha, Ne July Me Kaha Tha Ki WADA Ne Swimmers Se Jude Case Ko Mishandle Nahi Kiya, Jinka Trimetazidine (TMZ) Ke Liye Positive Aaya Tha, Lekin Chinese Investigation Me Unhe Clear Kar Diya Gaya Tha.

Cottier Ne Thursday Ko Apni Final Report Me Unn Findings Ko Reiterate Kiya, Lekin WADA Ko Criticize Kiya Ki Wo Chinese Anti-Doping Authorities (CHINADA) Ko Uske Anti-Doping Standard Me Nirdharit Sabhi Procedures Ko Follow Nahi Karne Ke Liye Challenge Dene Me Fail Raha.

Cottier Ne Apni 59 Pages Ki Report Ke Conclusion Me Kaha Ki Iss File Me Aisa Kuchh Bhi Nahi Hai Jisse Pata Chale Ki WADA Ne Koi Favouritism Or Complacency Dikhai Ho, Ya Kisi Bhi Tarah Se Unn 23 Swimmers Ko Benefit Diya Ho.

Unhone WADA Ke Uss Decision Ko Bhi Support Kiya Jisme Swimmers Ke Against Anti-Doping Rule Ko Aage Na Laane Ke CHINADA Ke Decision Ke Against Appeal Na Karne Ka Decision Liya Gaya Tha. CHINADA Ne Kaha Tha Ki Swimmers Ka Blood Flow Contamination Through Increase Hua Tha.

Iss Case Me Athletes And National Anti-Doping Authorities Ko Criticize Kiya Gaya, Jinhone WADA Ki Process Par Question Uthaye Aur Case Me Lack Of Transparency Ki Complain Ki.

WADA Ke Director General Olivier Niggli Ne Thursday Ko Ak Statement Me Kaha Ki Cottier Ki Report Me WADA Ki Review Completely Professional Thi And Rules Ko Follow Karti Thi.

U.S. Anti-Doping Authority (USADA) Ke CEO Aur WADA Ke Case Se Nipatne Ke Outspoken Critic Travis Tygart Ke Conclusions Se Satisfied Nahi The.

Unhone Kaha, Jabki WADA Management Chinese Swimmers Dwara 23 Positive TMZ Cases Ke Baare Me Iss Scandal Par Book Close Karna Chahta Hai, WADA Ke Investigator Dwara Release Ki Gayi Report Keval Hamare Concerns Ko Validate Karti Hai Aur Yahan Tak Ki New Questions Bhi Raise Karti Hai Jinko Answer Kiya Jana Chahiye.

“Investigate Karne Aur Iss Critical Question Ka Answer Dene Me Chal Rahi Vifalta Ki Kya 23 Positive Tests Contamination Or Intentional Use Ke Liye The, Aane Wale Saalon Me Duniya Bhar Ke Athletes Ko Pareshan Karenge.”

 

Indian Swimming News Or International Swimming News Padhne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:-SwimSwamHindi

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
newest
oldest most voted
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »