Hubballi-Dharwad Municipal Corporation (HDMC) ne Hubballi me Basavavana ke paas apne public swimming pools me entry fees double kar diya hai, jisse logon me gussa fail gaya hai. Repairing ka bahana dete huye pahle band kiya gaya pool residents ke pressure ke baad reopen ho gaya.
Halanki, entry fees 50 rupaye se badhakar 100 rupaye kar diya gaya, jisse unn swimmers ko jhatka laga jo abhi-abhi wapas lautna shuru huye the.
City me day by day temperature increase hota ja raha hai. Summer days me garmi se bachne ka ak refreshing and enjoyable way ho sakta hai, jisse exercise and stress se relief jaise benefits milte hain, lekin ab fee hike ne logon ko pareshan kar diya hai.
Swimming pool ke entry fees par ak poster par price hike ko display kiya gaya hai. Iss price hike ne common people especially middle class ko buri tarah affect kiya hai.
Official ka kahna hai ki fees isliye increase ki gayi kyunki swimming pool ka maintenance, uski safai, water quality maintain rakhna, 12 staff ko salary dena aur other infrastructure provide karana expensive ho gaya hai.
Regular swimmer Deepak Katawkar ne TOI ko bataya ki HDMC pool general public utility ke liye hai, na ki sirf paise kamane ke liye, jaisa ki private pools karte hain. “50 rupees per hour ki rate phir se consider kiya jana chahiye.
Unhone kaha ki kai students swimming seekhne ke liye HDMC pool me bhi jaate hain, kyunki wo iss field me apna career banana chahte hain. Maximum students ke paas per hour pay karne ke liye itne paise nahi hote. Fees kam karne ke liye memorandum submit kiya jayega.
Unhone kaha ki fee hike ke baad last 2-3 days me swimming pool me visitors ki sankhya me kaafi kami aai hai. Unhone kaha ki 50 rupaye lekar swimming pool me aane wale bachche disappoint ho ke laut rahe hain.
Fee hike se pahle, har din 500 se jada log swimming pool me aate the. Holidays ke dauran 600-700 se adhik log pool ka use karte the. Ab 100 log bhi nahi aate hain, unhone kaha.
HDMC commissioner Rudresh Gali ne kaha ki pool ke maintenance ke karan fees me vriddhi ki gayi hai.
Indian Swimming News Or International Swimming News Padhne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:-SwimSwamHindi