Happy Diwali Swimmer

Happy Diwali Swimmers, Aaj Mai Koi Khas Topic Par Baat Nahi Karne Wala Hu, Na Koi Workout, Na Koi Swimming Technique. Aaj Sirf Aapko Kuch Aisi Baat Btaunga Jo Sayad Aako Andar Se Pump Kre. Kyuki Workout, Dryland Inn Sab Ke Alwa Bhi Kuch Chize Hai Jinpar Swimmers Ka Control Hona Chahiye.

Dekhiye, Aap Aagar Koi Bhi Kaam Start Karte Hai To Aap Kya Soch Ke Wo Kaam Start Krte Hai? Jahir Hai Aap Kisi Se Inspire Hue Honge, Or Aapke Man Me Bhi Aya Hoga Ki Ek Din Aap Bhi Us Level Par Stand Krenge, Jo Ki Normal Hai Or Jruri Bhi Hai. Starting Me Aapko Wo Kaam Krne Me Mja Aati Hai Or Baad Me Aap Dhire Dhire Us Raste Se Hatne Lagte Hai. Aapko Aise Bohot Se Example Mil Jayenge Jo Ek Time Tak Top Par The Or Aaj Khi Kho Gye Hai, Aisa Kyu ? Kyuki Wo Uss Kaam Se Bore Ho Chuke Hai. Sports Me To Jyadatar Ye Dekhne Ko Milta Hai Or Agar College Student Ki Baat Kre To Iit Jisme Har Student Jana Chahta Hai Waha Ke Student Tak Iit Se Nikle Ke Baad Wo Line Chor Dete Hai. Isliye Iss Diwali Mai Unn Sabhi Coaches Or Parents Ko Or Swimmers Ko Bhi Ek Tip Dena Chahta Hu Jo Ki Unko Unke Track Par Bnaye Rkhega. Or Wo Hai Entertainment, Yes Agar Aap Apne Work Me Entertainment Find Kar Lete Ho To Trust Kro Aap Uss Kaam Me Thode Hi Time Me Kafi Aage Nikal Jaoge. Coaches Or Parents Ke Liye To Ye Sabse Ashan Hai Kyuki Wo Kuch Bhi Special Karke Swimmers Ko Entertain Kar Skte Hai, Jaise Coaches Week Me Ke Surprise Workout Jisme Fun Bhi Ho Or Swimmers Bore Bhi Na Ho Aisa Kuch Kar Skte Hai, Or Parents Apne Young Swimmers Unke Timing Ke Basis Par Treat Ka Promise Kar Skte Hai.  

Swimmers Bhi Khud Workout Ko Interesting Bna Skte Hai Kyuki Aaj Swimming Ke Liye Itne Sare Gear Aa Chuke Hai Ki Swimmers Agar Unka Use Workout Me Karta Hai To Wo Bore Nahi Hota Or Swimmer Ki Improvement Bhi Ho Jati Hai. Isliye Gear Ka Use Krke Workout Ko Interesting Bnanya Shi Option Hai.

Maine Ye Dekha Hai Ki Kafi Sare Coaches Swimmers Ka Mind Itni Aachi Trah Se Make-Up Karte Hai Ki Swimmers Ko Workout Karne Me Koi Pareshani Nahi Hoti, Jaise Agar Christmas Ka Month Hai To Wo Workout Ko Christmas Special, Ya New Year Special Jaise Name De Dete Hai. Bhle Hi Workout Hard Ho Ya Na Ho Lekin Har Swimmer Uss Din Aata Jarur Hai Kyuki Uske Maan Me Yai Rhta Hai Ki Ye New Year Special Workout Hai Kuch Interesting Workout Hoga.

Tarike Kafi Sare Hai Swimmers Ko Unke Path Par Bnaye Rkhne Ke Liye Bas Thoda Time Dekar Sochiye, Aapko Isse Bhi Creative Trike Mil Jayenge. Lekin Agar Swimming Dil Se Karna Chahte Ho To Main Aim Uss Chiz Ka Rakh Kar Kro Jo Iss Field Me Sabse Uccha Hai. “Gold Medal In Olympics”, Jai Hind

Join Us:-

Rules:-

  • Sirf Swimming Related Topic Hi Group Me Dale.
  • Swimming Related Questions Ya Apni Swimming Video Group Me Share Kar Skte Hai
  • Swimming Ke Alawa Koi Bhi Message Krne Wale Ko Group Se Remove Kar Diya Jayega

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
newest
oldest most voted
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »