Residents and swimming enthusiasts yahan Saradambal Nagar me newly constructed Government Swimming Pool ke inauguration ka eagerly wait kar rahe hain, jo city me iss tarah ki first facility hai. Halanki, 5 mahine pahle bankar taiyar hone ke baawjood, ye facility abhi bhi band hai.
Department of Sports and Youth Services ne Khelo India scheme ke tahat ₹5 crore ki cost se Saradambal Nagar me sabhi facilities se yukt government swimming pool ke construction ka proposal rakha tha. March 2019 me kaam start hua aur department ne pool ke complete hone ki deadline 6 June 2020 set ki thi.
“Halanki, Union Government ne project ke liye ₹2 crore ki first installment release kar di thi lekin second installment release karne me delay ke karan project held up ho gaya tha. Halanki, Puducherry government ne Centre ko first installment ke liye Utilization Certificate submit kar diya. Problem tab aur badh gayi jab contractor ne funds na release karne ka hawala dete huye project ko chhod diya aur foreclosure ki demand ki. Iske baad 18 April 2022 ko kaam ko foreclose kar diya gaya,” PWD ke ak official ne kaha.
Department of Sports and Youth Services ko locals ka gussa jhelna pada jiske baad project ko complete karne ke liye fresh tenders se niveditayen jaari ki gayi.
Baad me project cost ko subsequently revise kar ₹5.52 crore kar diya gaya aur kaafi taal matol ke baad last year kaam start kiya gaya aur complete kiya gaya. Swimming pool ab training ke liye taiyar hai. Halanki, iss baat par koi clarity nahi hai ki ye facility public use ke liye kab open ki jayegi.
C. Karthikeyan naam ke ak resident ne bataya ki clubs me pools ka use karne ke liye heavy price pay karna padta hai. “Swimming competitions ki taiyari kar rahe budding swimmers ko ya toh Chennai jana padta hai ya city me government-funded pools ki kami hone ke karan private pools ke liye monthly fees dena padta hai. Jab humne swimming pool open karne me delay ke baare me puchha, toh officials ne kaha ki kuchh issues hain. Unhone kaha ki facility ko turant open karna chahiye.”
Department of Sports and Youth Services ke ak official ne bataya ki construction work complete ho chuka hai. Halanki, facility se connect karne ke liye ak approach road abhi taiyar hona baaki hai. Department ko approach road bichhane ke liye fresh tenders jaari karne hain, jiski estimated cost ₹3 crore hai. Ye kaam 3 mahine me complete ho jayega aur department ne June tak facility ko public use ke liye open karna plan kiya hai.
Indian Swimming News Or International Swimming News Padhne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:-SwimSwamHindi