Navsari Consumer Disputes Redressal Commission (CDRC) Ne Chikhali Ke Ak Youth Ki Family Dwara Accidental Death Claim Ko Khaarij Karne Par Life Insurance Corporation Of India Ko Fatkar Lagai Hai Aur 2.50 Lakh Rupees Pay Karne Ke Orders Diye Hain. Court Ne LIC Ko Harassment Ke Liye Family Ko 5000 Rupees Pay Karne Ke Liye Bhi Kaha Hai.
Policy Holder Pallav Ahir Ki 2019 Me Chikhali Ke Rankiva Village Me Swimming Karte Time Death Ho Gayi Thi. LIC Me Unki Family Ke Accident Claim Ko Reject Kar Diya, Jisme Police Ke Statement Ke Base Par Unki Death Ko ‘Intentional Self-Injury’ Ke Karan Bataya Gaya Ki Ahir Swimming Nahi Jaanta Tha. According To Case Details, Pallav Ne August 2016 Se August 2036 Tak Ki Period Ke Liye LIC Ki New Money Back Plan Li Thi Aur Use 2.5 Lakh Rupees Ka Coverage Issue Kiya Gaya Tha.
During The Policy Period, Pallav Apne Doston Ke Saath Lake Me Swimming Ke Liye Gaya Aur Uski Death Ho Gayi. Uski Family Ne LIC Ke Paas Claim File Kiya, Jise Insurance Company Me 30 September 2021 Ko Reject Kar Diya. Choonki, LIC Ne Claim Ke Liye Repeated Requests Par Vichar Karne Se Inkar Kar Diya Isliye Pallav Ke Father Dhiru Ahir Ne October 2023 Me CDRC Ke Pass Complaint File Ki.
Consumer Forum Ne LIC Ki Daleel Ko Maanne Se Inkar Kar Diya Aur Kaha: “ Jab Ahir Ghar Se Nikla, Toh Usne Apni Family Se Kaha Ki Wah Friends Ke Saath Swimming Ke Liye Ja Raha Hai. Agar Use Swimming Nahi Aati Toh Family Use Nahi Jaane Deti. Agar Koi Tairna Nahi Jaanta Toh Wo Intentionally Apni Life Risk Me Nahi Daalega Aur Kai Baar Experienced Swimmers Bhi Different Situations Me Mar Jaate Hain. LIC Sirf Police Ke Iss Statement Par Claim Ko Reject Nahi Kar Sakti Ki Ahir Swimming Nahi Jaanta Tha. Agar Yah Intentionally Khud Ko Chot Pahochane Ke Liye Ki Gayi Ghatna Thi Toh Ye Police Me Aati.” Navsari CDRC Ne Ye Bhi Kaha: “ LIC Ne Jo Stand Liya Hai Wo Hypothesis Based Hai. LIC Ne Koi Bhi Proof Submit Nahi Kiya Hai Jo Ye Prove Karta Ho Ki Ki Ahir Ko Swimming Nahi Aati Thi. Hum LIC Ke Baseless Arguments Ko Accept Nahi Kar Sakte, Jisne Policy Ke Terms Ki Misinterepreting Claim Ko Reject Kar Diya Hai. Isliye, Family Ko Claim Milna Chahiye.”
Forum Ne LIC Ko 9% Interest Ke Saath 2.5 Lakh Rupees Ke Accidental Death Claim Ko Pay Karne Aur Family Ko Hui Harassment Ke Liye 5000 Additional Amount Pay Karne Ke Orders Diye Hain.
Indian Swimming News Or International Swimming News Padhne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:-SwimSwamHindi