Shan Ab National And International Dono Swimming Competitions Ke Liye Training Kar Rahe Hain.
Kollam: 21 Saal Ke Shan S Ki Life 2013 Me Tab Palat Gayi Jab Thiruvananthapuram Se Wapas Aate Time Ak Deadly Train Accident Me Unke Dono Pair Kat Gaye. Despite All Thehardships , Aaj Shan Kerala Ke Ak Proud National Level Ke Swimmer Hain.
Shan Ne The New Indian Express Se Kaha, “Accident Meri Jaan Le Sakti Thi, Lekin Ye Mere Liye Sports Ke Liye Junoon Ko Aage Badhane Ke Liye Motivation Ban Gayi.” Unhone Bataya Ki Bina Pair Ke Swim Seekhna Quite Challenging Tha Aur “Mujhe Sikhane Ke Liye Ak Trainer Ko Dhundna Bahot Mushkil Tha.”
Shan Ne Tamam Mushkilon Ka Saamna Karne Ke Baawjood Apni Dedication Se Kaam Kiya And 2022 Me State Level Para-Swimming Me 1st Place Secure Kiya And 2023 Tak Wo National Level Par Kerala Ko Represent Kar Rahe The. Tine Ki Report Kr According, Unhone Kochi Ki Periyar River Me 400m Ki Swimming Challenge Poori Ki.
Shan Ne Bataya Ki Unke Relatives Unki Iss Condition Ke Liye Majak Udate The, Jiski Wajah Se Deep Depression Me Chale Gaye. Halanki, Unhone Kaha, “Maine Apni Reality Ko Accept Kar Liya.” Shan Ne Kaha, “ Maine Apne Passion Ko Chase Karna Start Kar Diya. Yah Sirf Individual Determination Ke Baare Me Nahi Hai; Logon Se Support Milna, Halanki Jaruri Nahi Ki Relatives Se Bahot Jaruri Hai.”
Unhone Aage Kaha, Mujhe Thrissur Based Community Sri Se Bahot Help Mili Hai, Jisne Mere Prosthetic Leg Ko Sponsor Kiya. Reflections Global, Jahan Main Accident Ke Time Kaam Kar Raha Tha, Ne Bhi Mujhe Financially And Emotionally Kaafi Support Kiya Tha.”
Shan Ne Keval Sports Ke Liye Passion Ko Continue Rakha, Balki Corporate Job Bhi Sambhali. Unhone Kai Marathon Me Participate Kiya And Various Brands Ke Liye Model Ke Roop Me Kaam Kiya.
Shan National And International Swimming Competitions Ke Liye Training Le Rahe Hain. Unhone Apne Swimming Career Par Focus Karne Ke Liye Aoni Job Se Resign Kar Diya Tha. Shan Ne Kaha, “ Mera Aim Apni Limits Ko Push Karna Hai Jo Possible Lagta Hai. Itna Hi Nahi, Main Mount Everest Par Chadhne Ki Taiyari Kar Raha Hun. Life Unpredictable Hai, Aur Main Ise Poori Tarah Se Jeena Chahta Hun.
Indian Swimming News Or International Swimming News Padhne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:-SwimSwamHindi