Chhatrapati Sambhajinagar Municipal Corporation (CSMC) ke swimming pool me swimming ke liye aane wale members ki sankhya me rapid increase dekho ja rahi hai. Pool Siddharth Garden ke pichhe Garam Pani locality me hai. Keval 6 months me, pool ka revenue Rs 7 millions tak pahoch gaya hai, jabki last year poore saal me Rs 8.6 millions ki kamai hui thi. Previous situation ke comparison me pool me paani ki quality me kaafi sudhar hua hai, jisse citizens ke liye swimming experience enhance hua hai.
Swimming pool ke manager Abhay Deshmukh ne kaha, “municipal administration ne general public ke liye bahot kam charges par high-quality wala pool provide karaya hai. Swimming ke liye aane wale logon ki sankhya (jisme various competitions ke liye training lene wale, beginners and hobbyists log shaamil hain) badh rahi hai. Presently, 750 se jada members har din swimming ke liye pool me aate hain. Administrator G Sreekanth ne iss pool se international level ke swimmers taiyar karne par focus kiya hai aur pool aur iski facilities ki quality me improve karne par kaam kiya hai, jiska result number of visitors me rise hai.
Deshmukh ko ummeed hai ki current financial year me revenue collection 1 crore(10 million) tak pahoch sakta hai.
Municipal pools
City me municipal corporation kr keval 2 swimming pool hain. Jyoti Nagar me located pool ko BOT ( Build, Operate, Transfer) ke base par ak private agency ko patte par diya gaya hai. Ye pool kai saalon se band tha, lekin 4 mahine pahle phir se khul gaya hai; halanki iske members ki sankhya kam hai.
Membership Statistics
Monthly -136
Quarterly – 45
Annual – 205
Lifetime – 350
Indian Swimming News Or International Swimming News Padhne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:-SwimSwamHindi