Caeleb Dressel 2028 Me Olympic Career Samapt Karna Chahte Hai

Paris Games se 2 week pahle, gold medal swimmer Caeleb Dressel Los Angeles ke liye plans bana rahe hain. 28 saal ke Dressel ne Saturday ko Daytona International Speedway par kaha ki wo 2028 me 50m freestyle me apne career ko end karna chahenge. “I’m young. I’m feeling good,” unhone ye bhi bataya ki kaise unke bete ne unka perspective change kar diya hai. “Ye abhi mushkil hai kyunki jab aap championship meet se bahar nikalte hain toh last thing  jiske baare me aap sochna chahte hain, wo hai swimming. Isliye main Daytona me race kar raha hun aur achha time spent kar raha hun.” “But American soil par championship meet me compete karna hamesha se mera dream raha hai. Toh haan, meri nazar 2028 par hai. Mujhe nahi lagta ki ye ak full-event lineup hone ja raha hai. Mujhe lagta hai ki shayad sirf 50 free, thode muscles ko jodna, utne achhe shape me hone ki jarurat nahi hai. So maybe sirf splash-and-dash ka wait karein. Ye mere liye good time ho sakta hai.” Green Cove Springs me pale badhe and University of Florida me graduate hone wale Dressel ke naam 9 Olympic gold medals hain. Unhone 2020 me Tokyo me 50m freestyle jeeta lekin ak saal off lene ke baad Paris me 6th place pe rahe. Wo 100m fly me bhi disappointing 13th place pe rahe. Unhone 3 relay medal apne naam kiye.

Wah apni wife aur 6 months ke son ke saath Daytona me the. Dressel ne Cup Series ki race ke liye honorary official ke roop me kaam kiya. Yah Daytona ki unki first trip thi, halanki unhone ak popular video game ke through course ko kaafi had tak chalaya hai. France se return hone ke baad se unhone apne growing son ke saath time spent kiya- unhone 2 teeth khone aur apne pahle rollover par afsos jataya- apne lawn ki ghaas kaati, ak “proper burger” khaya aur apne dogs and cows ke saath time spent kiya. Unke pass apne latest Olympic performance ko reflect karne ka enough time tha. Unhone kaha, “iss saal games se main waise bhi result nahi chahta tha, lekin kabhi kabhi game aisa hi hota hai.”

“I hope ki maine country ko proud feel karaya hai. Mujhe lagta hai ki ye ab tak ki sabse shandar baat hogi, American soil par compete karna aur stand me keval American flags dekhna.” “Paris me hume jitne American flags and support mile, wo unbelievable tha. I can’t imagine ki America me bhi aisa kuch ho. Mujhe lagta hai ki ye mere career ke end karne ka sweet way hoga.”

Indian Swimming News Or International Swimming News Padhne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:-SwimSwamHindi

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
newest
oldest most voted
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »