FirstPost Ki New Report Me Btaya Gaya Ki National Swimming Federation Ne Long Roadmap Unveil Karne Ke Baad Kaha Ki Jab Tak Sabhi States Ke Pool Nahi Open Ho Jaate Hai Tab Tak SFI Koi Bhi Meets Nahi Hold Karega.
November Or December Mei Conduct Hone Wale Nationals Par Lagta Hai Swimming Federation Of India, Apne President, RN Jayaprakash Ke Stance Ko Phir Se Reconsider Karega.
Ek Virtual Press Conference “Success At 2022 Asian And Commonwealth Games Besides The 2024 And 2028 Olympics,” Mei India Mei Swimming Ke Bare Mei Apna Strategic Roadmap Announce Karte Huye, SFI Ke Executive Director, Virendra Nanavati Ne Kaha, “Hume Four Or Five Months Aur Wait Karna Pdega Aur Dekhna Padega Ki Kya Competition Karana Possible Ho Payega. Ye Possible Hi Nhi Ho Payega Ki National Competitions Conduct Karaya Jaa Sake Agar Sab Tstates Pools Ki Reopening Allow Nhi Karenge Toh.”
Jayaprakash Ne The New Indian Express Ko September Mei Diye Gay Eek Interview Mei Kaha Ki Wo Aasha Karte Hai Ki November Or December Mei Shayad Nationals Conduct Kiya Jaa Sakta Hai. SFI Ke President Ne Is News Par React Karte Huye Kaha Ki Coronavirus Ki Wajah Se Lage Huye Lockdown Ke Baad Aisa Pahli Baar Hua Hai Ki Ministry Of Home Affairs Ne March Ke Baad Ab 15th October Se Swimming Pools Ko Reopen Karne Ke Liya Kaha Hai.
SFI Ke General Secretary Monal Choksi, Ne Point Out Karte Huye Kaha Hai Ki Sabhi States Mei Nahi Open Hone Wale Hai Swimming Pools.
“States Jaisi Ki Gujarat Aur Karnataka Mei Pools Open Hone Ke Liye Formal Guidelines Issue Ki Gai Hai. Other States Sops Ke Aane Ka Wait Kar Rahe Hai (Jo Ki Past Week Mei Aa Gai Thi). Kuch States Pools Start Karne Ke Liye Agree Bhi Nhi Huye Hai. Maharashtra Apni Hi Guidelines Ke Saath Aaya Aur Bola Ki Swimming Pools Closed Hi Rahenge. Abhi Shayad Unh Eek Week Ya Phir 15th October Se Bhi Zyada Time Lag Sakta Hai Pools Ko Partially Open Karne Ke Liye. Kerala Aur Tamil Nadu Bhi Un States Mei Se Hai Jo Abhi Nhi Opan Karenge Pools. Hum Bass Itna Hi Kar Sakte Hai Q Ki Agar States Kahte Hai Ki Wo Pools Nhi Open Karenge Kyu Ki Wo High Caseload Face Kar Rahe Hai To Yahi Manna Padega.”
SFI Ne Kaha Ki Maharashtra, Tamil Nadu Aur Kerala Jaise States Ke Swimmer Train Karne Ke Liye Alag State Mei Shift Hona Chahte Hai, Aur Ye Move Bhi Sahi Rahega Inke Liye.
“Mission 2028”
Tuesday Ko SFI Ne Australia-Based Moregold Performance Consultants Ke Saath Strategic Partnership Announce Ki. Inhone Past Mei National Sports Federations Ke Saath Consulting Work Kiya Hua Hai Jaise Ki Usa Swimming, British Swimming, Swimming South Africa, Aur Us Olympic Committee. SFI Ke ‘Knowledge Aur Implementation’ Partner Ki Tarah, Moregold, Jise Wayne Goldsmith Head Karte Hai, Ke Paas Five-Year Ka Mandate Hai.Goldsmith Ke Moregold Ke Alawa, SFI Ne Ye Bhi Kaha Ki Wo American Sports Scientist Dr Genadijus Sokolovas Aur Italy Ke Stefano Nurra Ke Saath Bhi Kaam Kar Rahi Hai.
Swimming Ke Liye Jo Strategic Roadmap SFI Ne Tuesday Ko Announce Kiya Wo Several Factors Par Dhyan Dega:
National Talent Pool Create Karne Mei, Swimmers Ke Liye National Database Set Karne Mei, Coaches Aur Academics, Indian Coaches Ke Liye Education Aur Certification Pathway Hona, Talent Scouting Structre Hona.
SFI Ne Kaha Hai Ki Unke Revamped Talent Scouting Structure Ki Tarah, Wo Nation Ko Six Zones Mei Divide Karenge Aur Zonal Talent Identification Task Force Set Up Karenge, Aur Har Zone Ke Liye Designated Coach Honge Jo Ki Talent Scouts Ki Tarah Acting Karenge.
Federation, Swimming League Introduce Karne Ke Bhi Plan Kar Rahi Hai Aur Junior Swimmers Ke Liye Certain Asian National Federations Ke Saath Invitational Meets Bhi Organize Karwane Ka Plan Kar Rahi Hai Jisse Unhe Aur Zyada Exposure Mil Sake. Un Swimmers Ke Liye Jo 12 Years Old Ke Under Hai, Unhe Speed Ki Jagah Techniques Par Emphasis Karna Chhaiye, Wahi Sub-Junior Swimmers Ko Sabhi Strokes Par Focus Karna Chhaiye.