Workout Karne Se Jyada Uski Stroke Analysis Jruri Hai

Swimming Inshano Ke Liye Natural Nahi Hoti Hai Isliye Inshano Ko Swimming Learn Krni Padti Hai Or Uss Method Ko Sikhna Pdta Hai Jisse Kam Se Kam Power Me Better Swimming Ho, Swimming Ek Din Me Nahi Sikhi Ja Skti Hai Swimming Me Perfection Pane Ke Liye Aapko Kafi Time Dena Pdega Or Swimming Ko Kbhi Adha Adhura Kabhi Na Sikhe Kyuki Jitne Bhi Dubne Ke Accident Hote Hai Rivers Ya Lake Me Wo Isi Reason Se Hote Hai Ki Un Sabko Ya To Thodi Swimming Krni Aati Hai Ya Fir Ko Swimming Ko Easy Smjh Kar River Me Try Karne Lgte Hai Jo Ki Bilkul Galat Hai, Or Overconfidence Me Apni Jaan Gwa Baithte Hai. Behtar Yahi Hota Hai Ki Swimming Ko Phle To Puri Trike Se Sikhna Chahiye Or Kisi Instructor Ke Sath Hi River Ya Lake Me Swimming Karne Ke Liye Utrna Chahiye. Anjan Spot Par Swimming Karne Se Bachna Chaiye. Fir Bhi Iss Article Ka Topic Ye Nahi Hai Balki Swimming Ki Speed Kaise Bdhaye Or Kya Kya Chiz Dhyan Me Rkhne Se Aap Koi Bhi Stroke Improve Kar Skte Hai. To Chaliye Pdhte Hai Aaj Ka Article:

Head Ki Correct Position:

Newbie Swimmers Ke Sath Mostly Yahi Galti Hoti Hai Ki Wo Pani Me Utrte Hi Khud Ke Andar Ek Dar Baitha Lete Hai Or Jisse Wo Swimming Karte Wakt Apne Head Ho Pani Ke Uppar Hi Rkhna Safe Smjhte Hai Jabki Unko Ye Baad Pta Honi Chahiye Ki Head Ho Pani Ke Upar Rkhne Se Wo Extra Drag Create Kar Rhe Hai Jo Unki Body Ko Extra Energy Lga Ke Htani Pad Rhi Hai. Jabki Maine Ek Video Me Explain Bhi Kiya Hai Ki Kaise Aap Natural Movement Ke Sath Breath Lekar Apni Swimming Karne Ki Speed Bdha Skte Hai.

Small Strokes:

80% Swimmers Iss Galti Ko Karte Hai, Small Stroke Karne Se Sirf Number Of Stroke Increase Hote Hai Or Body Ko Jyada Energy Bhi Lgani Pdti Hai + Aap Ek Trah Se Jaldi Jaldi Stroke Krne Ke Sath Utna Distance Bhi Nahi Cover Kar Pate Jinta Aapko Actual Me Krna Chahiye. Swimmers Ko Dps Yani Distance Per Stroke Ke Bare Me Har Coach Se Puchna Chahiye Or Uska Use Swimming Me Kaise Karte Hai Isko Janna Chahiye, Dps Ek Aisi Chiz Hai Jiska Use Aap 50 Or 100m Me To Nahi Lekin 200m, 400m,800, 1500, Ki Race Me Use Karke Apne Time Me Kafi Jyada Improvement La Skte Hai, Atleast Ye Jrur Try Karna Chahiye Jo Bhi Swimmers Long Distance Races Me Participate Karta Hai.

Next Part Me Ham Iske Aage Ki Baat Janege Tabtak Ke Liye Aap Ise Share Kriye Or Logo Ko Hmare Sath Judne Me Help Kriye.

Join Us:-

Rules:-

  • Sirf Swimming Related Topic Hi Group Me Dale.
  • Swimming Related Questions Ya Apni Swimming Video Group Me Share Kar Skte Hai
  • Swimming Ke Alawa Koi Bhi Message Krne Wale Ko Group Se Remove Kar Diya Jayega

 

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
newest
oldest most voted
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »