Bengaluru: Swimming Federation of India ne India ke most decorated swimmers me se ak Virdhawal Khade ke against sexual harassment charges ko investigate karne ka decision liya hai.
Thursday ko media ke ak section ne report di ki Khade ne allegedly apna guild admit kiya hai aur Greater Mumbai Amateur Aquatic Association (GMAAA) me apni 18 saal ki former student ko lewd images send karne ke liye maafi maangi hai.
Iske baad Arjuna Awardee ko GMAAA ki disciplinary committee ne ak saal ke liye suspend kar diya aur gymkhana ke aegis me kisi bhi meeting me participate karne par ban laga diya hai.
SFI ke secretary Monal Choksi ne suggest kiya hai ki agar matter sach me utna hi ‘pareshan karne wala’ hai, jitna abhi lag raha hai, toh SFI Olympian ke against more stringent action ke liye insist kar sakta hai.
“Humein 30 October ko GMAAA se letter mila, aur hamare paas iss par vichar karne ke liye ak disciplinary committee hai,” Choksi ne DH ko bataya. “Hamare paas iss tarah ke issues ko address karne ke liye ak POSH (Prevention of Sexual Harrasment) committee bhi hai. Iss case ko thoroughly investigate kiya jayega. Hum dono parties ko sunenge aur dekhenge ki right action kya hai.”
“Ab tak humne jo padha hai, uske according aisa lagta hai ki misappropriate behave hua hai, isme koi doubt nahi hai aur isliye humen punishment ki terms ko increase karna hoga ya kuchh aur jada severe karna padega. Hum ak association ke roop me iss tarah ke behaviour ke liye khade nahi hain.”
Jab GMAAA ke secretary Kishore Vaidya se contact Kiya gaya, toh unhone ignorance dikhate huye kaha, “Iss case se mera koi lena-dena nahi hai. Mujhe kuchh bhi pata nahi hai.”
Khade ne na toh calls ka response diya aur na hi DH ke text ka reply kiya.
Report me allegations lagaye gaye hain ki Khade nashe me the aur unhone ‘galti se’ ladki ko lewd images send kar di. Bataya jata hai ki Khade committee ke saamne pesh huye aur unhone apni galti accept ki. Unhone supposedly ladki ke parents se bhi baat ki.
Pata chala hai ki ladki aur uski family ne police case nahi file kiya hai. Iss disclosure ke baad, kai aur swimmers samne aaye hain, jinhone swimmer par isi tarah ke ‘misconduct’ ke allegations lagaye hain.
Kohlapur me janme swimmer ne iss saal ki shuruaat me hi Maharashtra me apni government job chhod di thi taaki ‘next generation ko coaching’ dene par focus kar sakein.
2008 me Beijing Olympics me kai categories me India ko represent karne ke alawa, Khade ne China me 2010 Asian Games me bronze medal bhi jeeta tha.
Indian Swimming News Or International Swimming News Padhne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:-SwimSwamHindi