Telangana ke Nagarkurnool district ke Peddakothapally village me Thursday shaam ko ak tragic incident hui, jab local pond me swimming karte huye 3 bachche doob gaye. Deceased ki pahchan 13 saal ke A Ganesh Reddy, uski 10 saal ki bahen A Rakshitha aur 7 saal ke B Shravan Kumar ke roop me hui. Police reports ke according, bachche apne 3 aur doston ke saath pond ke paas khel rahe the, tabhi unhone swimming karne ka decision liya. Unme se 3 safely paani se bahar niklne me successful rahe, jabki Ganesh, Rakshita and Shravan pond ke andar ak deep pit me fas gaye. Baaki ke bachchon se help ke liye desperate attempts ke baad bhi, rescuers ke pahochne se pahle hi teeno bachche doob gaye.
Local farmers aur aaspas ke shepherds ne dead bodies ko nikalne me help ki, jinhe baad me postmortem ke liye Nagarkurnool government hospital le jaya gaya. Friday ko bodies families ko hand over kar di gayi.
Hyderabad ke rahne wale Ganesh and Rakshitha summer vacation me Peddakothapally aaye the, jabki Shravan Kumar local resident tha aur gaon ke primary school ka student tha. Ganesh and Rakshitha dono Hyderabad ke Bandlaguda me Saraswati Shishu Mandir ke students the.
Police ne Bhartiya Nagrik Suraksha Sanhita (BNSS) ki Section 194 ke tahat case register kar liya hai. Authorities incident ke aaspas ki circumstances ko investigate kar rahe hain.
Iss tragedy ne families and community ko shok me dubo diya hai aur summer months me unmonitored water bodies me swimming ke dangers ko highlight kiya hai.
Indian Swimming News Or International Swimming News Padhne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:-SwimSwamHindi