Prayagraj Ke Six Ghats Swimming Ke Liye Hai Unsafe – Indian Swimming News

Haal Hi Mei Huye Incident Ko Dhyan Mei Rakhte Huye Jaha Par MNNIT Ke 2 Students Koteshwar Ghat, Ganga Nadi Mei Doob Gaye The. Is Incident Ke Baad Se Prayagraj Police Aur Jal Police Ne Aise Six Ghats Ko Identify Kar Ke Unhe Swimming Ke Liye Unsafe Karar Diya Hai.

“Ganga Aur Yamuna Par Located Kai Saare Ghats Jisme Koteshwar, Phaphamau, Baghra, Salori, Daraganj In Ganga And Tarapur, Aur Kakraha Ghat Included Hai. Yamuna River Par Saraswati Ghats Bhi Unsafe Hai. Iske Sath Hi Ganga Kachar Par 10km Long Stretch Mein Bhi Swimming Krna Safe Nhi Hai. Prayagraj Commissionate Police In Ghats Par Kaafi Dhyan Dene Wali Hai Ab.

Jal Police Ne Netizens Aur Swimmers Ko Ye Advise Kiya Ki Sirf 6 Ghats Hai Jaha Par Swimming Ko Enjoy Kiya Jaa Sakta Hai. Jisme Sangam, Ram Ghat, Kali Ghat, Dashaswamedh Ghat, Arial Aur Chatnag Included Hai.

In Ghats Par Jal Police Ki Aur Thana Cops Ki Duty Assigned Ki Gai Hai Taaki Logon Ki Safety Ensure Ki Jaa Sake.

Ek Official Ne Kaha Ki, Summer Season Mein Professional College, School, University Ke Studenta Group Mei Swimming Krne Aate Hau Iske Bawjood Ki Unhe Idea Nhi Hota Hai Ki Water Ki Depth Kitni Hai. Yaha Tak Ki Wo Log River Cross Krne Ki Bet Bhi Lagate Hai Aapas Mei Aur Yahi Par Mishaps Bhi Hota Hai.

Indian Swimming Or International Swimming Ke News Janne Ke Liye Facebook Par SwimSwam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:- SwimSwamhindi

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »