Olympic Swimmer Sajan Prakash Ko Kerala Police Mei Assistant Commandant Ke Post Par Promote Kiya Gaya Hai.
27-Year-Old Kerala Swimmer Ne Recently Hi Country Ko Tokyo Mei Huye Summer Olympics Mei Represent Kiya Tha.
Sajan Ne Men’s 200m Butterfly Event Mei 1:56.38 Ki Timing Ke Saath Games Mei ‘A’ Quota Ke Saath Qualify Kiya Tha. Sajan, Srihari Nataraj Aur Maana Patel Ye 3 Indian Swimmers The Tokyo Mei.
Halaki Sajan Tokyo Olympics Me Apna Best Nahi Perform Kar Paye And 200m Fly Me Overall 24th Place Par Rhe And 100m Fly Me 46th Place Par Rhe. (Tokyo Olympics Me Indian Swimmers Ki Performance Dekhne Ke liye Click Kare)
View this post on Instagram
2 Saal Pahle, Sajan Prakash Ne 2016 Rio Olympics Mei Qualify Karne Wale Akele Male Swimmer Banne Ke Baad Inhone Kerala Police Ko Joined Kiya Tha.
Ek Din Baad Hi, Sajan Jo Ki ‘Inspector’ The Special Armed Police Mei China Chale Gaye The “World Police And Fire Games” Mei Participate Karne Ke Liye.
Sajan Ki Appointment Jaldbaazi Mei Ki Gai Thi Taaki Wo Is Event Mei Compete Krne Ke Liye National Police Ki Side Mei Aa Jaaye.
State Government Ne 2015 Mei Unki Badhiya Performance Ke Baad Job Dene Ka Promise Bhi Kiya Tha.
Indian Swimming Ki News And Swimming Se Related Amazing Tips Janne Ke Liye Facebook Par SwimSwam Hindi Ko Jrur Like Kar Le.