Jaldi hi city residents ko, yahan tak ki bachche bhi poore saal swimming enjoy kar sakenge. MC, jiske paas already ak swimming pool hai, Rakh Bagh ke paas ak all-weather swimming pool ka construction kar raha hai. Ye project March tak complete hone ki sambhavna hai aur April me iska trial start ho jayega.
MC officials ne project ko review karne ke liye pool site ko visit kiya aur contractor ko 31 March tak ise complete karne ke instructions diye. Existing MC pool mostly summer me open hota hai aur October tak close ho jata hai. Residents ko poore saal tairne ki opportunity dekar, all-weather swimming pool se pool revenue ke roop me civic body ke liye aur jada revenue generate karne ki bhi ummeed hai.
Rakh Bagh ke paas ak all-weather pool banane ki planning 2007 se 2020 tak lagbhag one and half decade se sochi ja rahi thi, lekin finance ki kami ki wajah se ruki thi.
Former Cabinet Minister Bharat Bhushan Ashu ne Smart City Fund ka use karke iss project ko implement karne ko recommend kiya. Project ki estimated cost around Rs 6 crore hai.
Iss all-weather swimming pool ka use summer and winter dono seasons me kiya ja sakta hai. Choonki, pool ki depth 5ft tak hai, isliye bachche bhi isko use kar sakte hain. Kareeb 10 saal pahle Rakh Bagh me bane King George swimming pool ka use sirf bachchon ke liye hota tha. Due to lack of maintenance, ye pool dilapidate ho gaya aur aakhirkar band ho gaya.
King George pool city ke historical places me se ak hai. Isko Independence ke pahle se banaya gaya tha aur iska use sirf British officers hi karte the.
Indian Swimming News Or International Swimming News Padhne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:-SwimSwamHindi