Koraput: Jeypore ke integrated sports complex me swimming pool last 5 mahino se band hai, jisse state government ki pay and play scheme ke tahat enrolled 150 se jada young swimmers affected hain. Former chief minister Naveen Patnaik ne March me iss facility ko inaugurate kiya tha, jo May se kuchh time ke liye chaalu rahi aur June ki shuruaat me motor system failures ke karan band ho gayi.
“Mera beta swimming seekhne ke liye bahot enthusiastic tha aur usne level 2 tak progress kiya tha. Unfortunately, last 5 months se classes band hain,” affected students me se ak ke parent ne kaha. 500 rupees per month fees wale iss program me 6 se 14 saal ke students shaamil the.
“Ye bahot disappointing hai ki swimming classes start hone ke kuchh hi weeks ke andar band kar di gayi. Bachche bahot eagerly classes attend kar rahe the. Classes ko jaldi start karne ke liye steps liye jaane chahiye,” ak parent Kapilendra Singhlal ne kaha.
Ak anya parent Rajendra Gouda ne kaha, “bina classes ke swimming pool me use hone wale equipments aur other items dheere-dheere kharab ho rahe hain, jo public money ki barbadi hai.”
District Sports Officer Gyanjeet Tripathi ne kaha ki pool ke 4 motors me se 3 ko repair kar diya gaya hai aur unhe jaldi hi classes phir se start hone ki ummeed hai.
Local MLA Tara Prasad Bahinipati ne immediate action ki maang ki aur kaha, “Government ko ye ensure karna chahiye ki pool jald se jald start ho jaaye.”
12 acres me bane 26 crore wale iss sports complex me features hain:-
- 75-meter swimming pool
- 400-meter running track
- Football ground
- Indoor stadium
- Gymnasium
- Tennis and volleyball courts
- Administrative building
- Digital scoreboard
- Viewers gallery
- Players’ rooms
Indian Swimming News Or International Swimming News Padhne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:-SwimSwamHindi