Shahar ke 75 saal ke industrialist Parveen Kamal ke liye sports love me koi kami nahi hai. Wo apni age ko sports ke liye pyar ke aage nahi aane de rahe hain. Age ne unhe ghar par baithne ke liye majboor nahi kiya hai, balki time ke saath wo active hote ja rahe hain. Unhone haal hi me 10-12 November ko Bhopal me held National Swimming Championship me 3 medals jeete.
Unhone 400m freestyle me gold medal, 200m me silver medal aur 50m event me bronze medal jeeta. Unki life journey young generation ko bhi inspire kar sakti hai.
Parveen kahte hain, “1964 me jab 9th class me tha, tab maine swimming start ki thi. Maine 1972 tak swimming continue rakha aur unn 8 saalon me maine state, national and inter-university championship me participate kiya aur kai medals jeete.” Lekin 1972 ke baad, jab wo business me lag gaye tab game pichhe chhoot gaya. Unke well wishers and friends ne unhe phir se encourage kiya, jiske baad ye phir se start ho utha. Tab se wo alag-alag events me participate kar rahe hain.
Shahar me machine tools unit ke owner Parveen ne kaha, khud ak businessman hone ke naate wo jante hain ki business persons physical exercise ke liye jada time nahi dete hain aur apne kaam ko lekar pareshan rahte hain. Lekin wo health ko ak prized profession batate hain aur apne aap ko fit rakhne ki salah dete hain.
Indian Swimming News Or International Swimming News Padhne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:-SwimSwamHindi