Ocean Conservation Ke Liye Dharamtar Se Gateway Of India Tak Swimming Ki

K J Somaiya Medical College ki MBBS second-year ki student Hazel Raikundalia ne Monday ko Alibag ke paas Dharamtar Jetty se Gateway Of India tak tairkar apni third Arabian Sea challenge complete ki. Subah 12:30 AM baje start hui Hazel ne 9 hours and 52 minutes me complete ki.

World Open Water Swimming Association dwara certified SWIM for SEA initiative ne ocean preservation ke liye Hazel ki commitment ko demonstrate kiya.

Hazel ne kaha, Ye remarkable journey unke supporters and mentors ke strong network ke bina possible nahi hoti. Unhone aage kaha, iss event me Thane Club ke head coach Umesh Uttekar, Somaiya Trust me Sameer Somaiya and Dr. Samir Joshi ki active participation and encouragement dekhne ko mila. Rasta kaafi kathin tha aur mujhe swimming complete karne me 2 ghante extra lage.

Rasta kathin hone ke saath-saath use kai tricky situations ko bhi face karna pada jaise strong winds and cold temperatures. Iske alawa, ak boat ne use lagbhag takkar maar di, jisse uski Maa Poonam ko kuch moments ke liye chinta hui kyunki wo kuch moments ke liye apni beti ko kho baithi. Fishing nets and creek buoys other challenges prove hui.

Maharashtra State Amateur Aquatic Association (MSAAA) and WOWSA ke representatives ne swimming ko supervise kiya. Optimal period se 1.5 hours jada time tak tide ke opposite tairte huye, Hazel ne standard 36km ke raste ke bajay 38.2km ki distance cover ki.

Hazel, jinki previous accomplishments me last December me Bandra-Worli Sea Link se Gateway Of India tak tairna shaamil hai, jiske results me Ferries pe dustbin installation jaise environmental improvements huye, ne pandemic ke time pool se transition ke baad open water swimming start ki. November 2021 me, unhone Elephanta Island se Gateway Of India tak 14km ki apni first sea swim 2 hours and 45 minutes me complete ki. Hazel ne Thane Club me 12 saal ki age me apni swimming start ki.

Dharamtar se Gateway tak ka route iconic hai, lekin challenges se bhara hua hai. Unke Coach Uttekar Sir iss route ko English Channel se compare karte hain. Unka kahna hai ki agar koi ise jeet sakta hai toh wo duniya ke kisi bhi channel ko cross kar sakta hai.

Hazel ne kaha, swimming ke dauran unhe significant amount me garbage, oil spills and industrial waste mila. Tairte Samay ye kaafi irritating tha. Inn waters me pollution kaafi jada hai, agar aisa hi chalta raha toh hamara iconic channel jald hi future swimmers ke liye unusable ho sakta hai.

Wo authorities se request karti hain ki wo iss issue ko urgently address karein aur upcoming generation ke liye iss historic route ko preserve karne ke liye action lein.

Indian Swimming News Or International Swimming News Padhne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:-SwimSwamHindi

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
newest
oldest most voted
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »