Dolphin Kick Ki Technique Swimmers Ke Liye Hai Important

Ek Fast Dolphin Kick Develop Krna Easy Nahi Hota, Aaj Har Swimmer Apni Dolphin Kick Improve Kar Rha Hai Or Wo Bhi Sare New Tools Ka Use Kar Rha Hai. Dolphin Kick Me Back,Hip,Knees Aur Ankles Inn 4 Body Parts Ka Role Bahut Important Hai Aur Jis Swimmer Ne Ispar Command Bna Li Uski Dolphin Apne Aap Improve Ho Jayegi. Aur Iske Baad Jispar Command Karni Hoti Hai Wo Hai Leg Strength And Stamina Kyuki Bina In Dono Ke Dolphin Kick Ki Technique Fail Hai.

Dolphin Kick Karte Wakt Log Galti Up Kick Me Karte Hai Aur Niche Wali Kick Par Jyada Power Lgate Hai Jabki Aisa Hota Nahi Hai Jitne Bhi Elite Level Ke Swimmer Hote Hai Unki Dono Kick Chahe Wo Up Ho Ya Down Dono Me Ek Jaisa Hi Pressure Hota Hai Jisse Ek Continuity Milti Hai Speed Me Aur Agar Aap Up Kick Par Kam Pressure Or Down Kick Par Jyada Pressure Lgate Hai To Aapko Wo Speed Nahi Mil Payegi Jo Aapko Ek Accha Start De Ske Aur Yahi Wo X-Factor Hai Jo Bahut Se Swimmer Najar Andaz Kar Dete Hai To Jaruri Nahi Hai Ki Aapke Pass Sare New Swimming Tools Ho Dolphin Kick Ko Strong Krne Ke Liye Balki Jaruri Hai Ki Apko Knowledge Ho Ki Aapko Dolphin Kick Me Kis Part Par Jyada Kaam Krna Hai.

Olympian Kelsi Worrell Ka Example Me Lekar Agar Smjhau To  Kelsi Worrell Ki Up Kick 4.6m/Sec Ka Acceleration Body Ko Deti Hai Jabki Down Kick Isi Acceleration Ko Sirf .3m/Sec Tak Increase Karti Hai Jabki Agar Michael Phelps Ki Baat Kre To Unki Down Aur Up Kick Se Jo Acceleration Jo Milta Hai Wo Dono Lagbhag Same Hota Hai Isliye Michael Ke Dolphin Kick Itni Strong Hai.

Isliye Is X-Factor Par Aaj Se Hi Kaam Kriye Aur Ek Acchi Dolphin Kick Develop Kriye.

Video Me Maine Kuch Logo Ki Video Ki Madad Lekar Smjhaya hai:-

 More Workout On Swimswam Hindi:-

Indian Swimming or International Swimming Ke News Janne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:- SwimSwamhindi

Join Us:-

Rules:-

  • Sirf Swimming Related Topic Hi Group Me Dale.
  • Swimming Related Questions Ya Apni Swimming Video Group Me Share Kar Skte Hai
  • Swimming Ke Alawa Koi Bhi Message Krne Wale Ko Group Se Remove Kar Diya Jayega

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »