SwimSwam Heart Of A Champion ka Award Mila Maarten Van Der Weijden Ko

Dutch Ke Open Water Swimmer Maarten Van Der Weijden Ko 2018 SwimSwam Heart Of A Champion Award Ke Sath Nwaja Gya Hai. Maarten Ki Competitive Swimming Achievements Ki Baat Kare To: 2008 Me 10km Open Water Me Olympic Gold Medal Jeeta Hai, Inhone 25m Pool Me Longest Distance Swim Krke World Record Bhi Apne Name Kiya And Ye Swim Inhone 24hours Me Complete Kari Jisme Inhone Ek Din Me 102.8km Ki Swimming Ki Thi. Jiska Average Pace 100m 1:24 Me Complete Karne Ka Tha.

24 Hour Swim Karne Ke Baad Van Der Weijden Ne Ek New Challange Liya, Unko Ab Elfstendentocht Ke Pure Track Ko Swim Krke Paar Krna Tha. Ye Pura Track 200km Ka Hai. Inhone Iske Jariye Charity Ke Liye Paise Bhi Collect Kiye. Maarten Ne 3 Hour Ki Choti Neend Lekar Apni Swim Start Kari Lekin 75% Complete Karne Ke Baad Waterborne Illness Ke Karan 163km Ke Baad Hi Rukna Pad Gaya Jo Ki Maarten Ne 55 Hours Me Complete Kiya.

Ye Event Pure Netherlands Me Television Par Dikhaya Gaya Jiske Jariye 5.72 Million Usd Collect Hue. Jo Ki Aabhi Tak Ki Sabse Badi Swim Ke Jariye Collect Ki Gayi Rashi Hai.

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »