Swimming Career Ko Behtar Krne Ke Liye Jane Ye 7 Kobe Bryant Quotes Ko

Is Week Ke Ek Aise Durghatna Hui Hai Jisko Leke Duniya Bhar Ke Athlete Shok Mana Rhe Hai. Is Week Hamne Ek Aise Athlete Ko Khoya Hai Jo Swimming Ko Kafi Support Krte The. Kobe Bryant, Jo Ki History Ke Sabse Professional Player Me Se Ek The, Unke Legendary Dedication And Key Moments Me Unki Self-Styled “Mamba Mentality” Ke Liye Wo Jane Jate The. Bryant Ka Iss Week Me Ek Helicopter Accident Me Nidhan Ho Gya Jiske Baad Har Sports Ke Athlete Ne Unko Shardhanjli Di.

Bryant Ki Athletic Mentality Badi Hi Asani Se Swimming Me Apply Kari Ja Skti Hai. Niche Bryant Ke Kuch Favourite Quotes Btaye Gaye Hai:

Kabhi Daro Na

Mera Dimag Us Tarah Se Kaam Nahi Karta, Ye Kuch Aisa Hai Jo Kabhi Mere Thought Process Me Aaya Hi Nahi. Akhri Baar Jab Mai Daraya Gaya Tha To Mai Karate Class Me 6 Saal Ka Tha. Mai Ek Orange Belt Tha And Instructor Ne Mujhe Apne Se Bahut Bde Ladke Se Fight Krne Ke Liye Bola Jo Ki Black Belt Tha. Mai Dara Hua Tha Lekin Kam. Mera Matlb Mai Dara To Tha Hi And Usne Mere Ass Par Laat Mari Lekin Tabhi Mujhe Realise Hua Ki Ye Laat Utni Bhyanak Nahi Thi Jitna Mai Soch Rha Tha And Isme Koi Bhi Darne Wali Baat Hai Nahi. Tab Mujhe Realise Hua Tha Ki Agar Aap Fight Ke Mind Se Maidan Me Utre Ho To Koi Bhi Darne Wali Baat Nahi Aa Skti

From A 2013 ESPN Interview

Failure Ya Criticism Ke Dar Ko Avoid Krna

“Aapko Kadam Aage Bdha Kar Khelna Pdega, Apko Is Baat Ki Chinta Nahi Honi Chahiye Ki Log Aapko Criticise Krenge. Apko Failure Ka Koi Dar Nahi Hona Chahiye. Aapko Aage Badh Kar Dekhna Hoga, Chizo Ko Samjhna Pdega And Play Krna Pdega And Aap Jitna Bhi Best De Skte Hai Dena Hoga, Jo Hoga Wo Hoga. Lekin Aap Iss Dar Ke Sath Baith Nahi Skte Ki Log Kya Khenge Ya Agar Aap Fail Hog Ye To Kya Hoga”

From A 2014 ESPN Story

Khud Ke Doubt Ke Sath Deal Krna

“Mujhe Kuch Self-Doubt Hai. Mujhe Insecurity Hai. Mujhe Failure Se Dar Lagta Hai. Mujhe Aise Khwab Aate Hai Jisme Mai Arena Me Hu And Mera Back Hurt Ho Rha Hai, Mere Legs Hurt Ho Rhe Hai, Mere Knees Hurt Ho Rhe Hai, Mujhe Ye Nahi Chahiye Mujhe Bas Chill Karna Hai. Ham Sabko Self-Doubt Hota Hai, Aap Isse Mukar Nahi Sakte”

Per, INC.Com

Samiksha Karte Hue, Kewal Aage Badhne Ke Ek Way Ke Roop Me Dekha Ja Skta Hai

“Mai Samiksha Sirf Ek Chiz Ke Liye Karta Hu Ki Mujhe Usse Ye Pta Chalta Hai Ki Mujhe Aage Badhna Hai, Mai Samiksha Ek Purpose Ke Liye Karta Hu”

Per Goalcast.Com

Greatness Hasil Karne Ke Liye Sacrifices Karna

“Agar Aap Kisi Chiz Me Mahan Bnna Chahte Hai To Ek Choice Hme Logo Ke, Individuals Ke Roop Me Bnanan Hoga. Aapko Uske Sath Aapne Wale Nihit Balidano Ko Banana Hoga. Family Time, Apne Dosto Ke Sath Ghumna… Ham Sabhi Apne Craft Me Masters Ho Skte Hai Lekin Apko Us Decision Ke Sath Aane Wale Sacrifices Ko Karna Hoga”.

From A 2015 CBS Sports Documentary Titled “Kobe Bryant’s Muse”

Setbacks, Injuries And Defeats Ke Sath Kaam Karna

“Udas Rho. Pagal Rho. Frustrated Rho. Scream. Cry. Jee Machlan. Jab Aap Jagenge To Aapko Lgega Ki Ye Ek Bura Sapna Tha Sirf Is Chiz Ka Ahsas Krne Ke Liye Ye Sab Chiz Real Thi. Aap Gusse Me Honge And Apko Wo Din Wapas Chahiye Rhega, Aap Khel Wapas Khelenge Lekin Reality Apko Kuch Wapas Nahi Deti”

From A 2017 Instagram Post Encouraging Gordon Hayward After A Gruesome Leg Injury

Ek Leader Banna

Ek Effective Leader Hone Ke Liye, Apko Ek Bahut Hi Accha Listener Hona Pdega Isliye Nahi Ki Jo Kaha Ja Rha Hai Balki Isliye Ki Jo Nahi Kaha Jar Ha, Wo Apko Pta Hona Chahiye. Apko Ek Accha Observant Hona Pdega, Yah Mere Liye Ek Bahu Hi Bada Transition Tha. Mai Ek Scorer Hone Se Lekar Ek Leader Hone Tak Gaya. Aur Iska Matlab Ye Hai Ki Mai Dusro Ko Aage Rakhta Tha. Iska Matlb Ye Nahi Hai Ki Aap Ek Rhythm Me Hai Ya Aap Is Game Me Accha Khel Rhe Hai Balki Mai Unko Tyar Hone Ke Kya Help Kar Skta Hu?” 

From A 2018 Pep Talk With Alabama’s Football Program

English Me Padhne Ke liye Click Kare

Facebook Par SwimSwam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:- SwimSwamHindi

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »