Freestyle Swimming ko Improve Karne Ke Liye 3 Important Points

Swimming Humans Ke Liye Natural Nhi Hoti Hai Isliye Swimming Insano Ko Sikhna Padta Hai Aur Us Tarike Ko Sikhna Padta Hai Jisse Km Se K Takat Me Jyada Achhe Se Swimming Ho Ek Chij To Mai Keh Sekta Hu Ki Swimming Ko Sikhne Ke Liye Bahut Practice Cahiye Hoti Hai Bahut Time Dena Padta Hai Aur Pool Ke Jyada Se Jyada Laps Lgane Se Hi Swimming Me Perfection Aati Hai Article Swimming Ki Galti Aur Usko Kaise Shi Kre Uske Bare Me Hai.

Freestyle Swimming :-

Mistake #1 Head Ki Shi Position :-

New Swimmers Ke Sath Ye Mistake Bahut Hi Common Hai Ki Apne Head Ko Sidhe Na Rakh Kr Idhar Uadhar Kerte Hai Aur Apni Body Ko Stream Line Nhi Rakh Pate Swimming Kerte Wqt Saas Lete Time Swimmers Apne Head Ko Pura Upar Utha Lete Hai Jo Ki Bilkul Galat Hai Isse Sirf Pani Me Rukawat Banti Hai Isko Shi Kerne Ke Liye Swimmers Ko Apne Head Ko Naturally Ghuma Ke Side Se Saas Leni Cahiye.

Mistake #2 Chote Swimming Strokes :-

Ye Mistake Lagbhag 80% Swimmers Me Dekha Jata Hai Jb Weh Thak Jate Hai To Chote Stroke Ko Kerne Lagte Hai Freestyle Swimming Kerne Ka Sbse Achha Tarika Yeh Hai Ki Swimmers Ko Apne Hatho Ko Apne Head Ke Samne Aage Ke Or Le Jan Chahiye Aur Hath Ko Aage Badha Ke Fir Pull Kerna Cahiye Chote Stroke Ko Kerte Wqt Bhi Haath Head Kea Age Se Jata Hai Lekin Finishing Ke Wqt Swimmers Ko Long Stroke Wale Swimmers Se Jyada Stroke Kerna Padega Chote Stroke Kerne Se Swimmer Hr Pull Pr Jyada Door Nhi Swim Kr Pata Isliye Humesa Long Stroke Pe He Dhyan Dena Cahiye Swimmers Ko Dps(Distance Per Stroke) Ko Badhane Pr Dhyan Dena Cahiye Professional Swimmers Ka Dps Jyada Hota Hai. Chote Stroke Ka Karan Kabhi Kabhi Lactic Training Ki Kami Se Bhi Dekha Jata Hai Isliye Lt Training Bhi Jaruri Hai Taki Race Ke End Me Koi Problem Na Ho.

Mistake #3 Kick:-

Kick Me Aamtaur Pr Do Type Ki Galti Dekhne Ko Milti Hai First Kamjor Kick Aur Dusri Over Kick. Agar Apne Kabhi Kick Board Lekar Sirf Kick Ki Help Se Swimming Pool Ka Round Lgana Caha Aur Apki Kick Kamjor Ya Dhimi Hai To Ap Dekhenge Ki Ap Muskil Se He Aage Badhenge Ek Achhi Kick Ke Liye Ankle Me Flexibility Hona Bahut Zaroori Hota Hai Iski Kami Hone Se Kabhi Kabhi Ye Bhi Dekha Gya Hai Ki Fins Ka Use Krte Waqt Legs Me Tightness(Aakdan) Aane Lagti Hai Isliye Ankle Me Flexibility Hona Bahut Zaroori Hota Hai Kamjor Kick Ko Shi Kerne Ke Liye Zaroori Hai Ki Swimmers Ko Roj Kick Ke Kuch Workout Kerne Cahiye.

I Hope Ki Ye Kuch Basic Baate Aapko Pasand Aayi Hogi Please Aap Niche Comment Me Likhe Kar Jruu Btaye Taki Mujhe Bhi Thoda Motivation Mil Ske. Thank You….

Join Us:-

Rules:-

  • Sirf Swimming Related Topic Hi Group Me Dale.
  • Swimming Related Questions Ya Apni Swimming Video Group Me Share Kar Skte Hai
  • Swimming Ke Alawa Koi Bhi Message Krne Wale Ko Group Se Remove Kar Diya Jayega

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »