First Swim Meet Ki Importance Ko Janiye

Hey Guys Welcome Back To SwimSwam Hindi, To Jaisa Ki Competition Season Start Ho Chuka Hai Or Kafi Sare Meets Ho Bhi Chuke Hai Or Kafi Sare Hone Baki Hai Or Hmesa Ki Trah New Face Bhi Ready Hai Apne First Swim Meet Me Race Karne Ke Liye, To Aaj Ka Article Un Sare New Faces Ke Liye Jo Phli Baar Swim Meet Ko Experience Karne Ja Rhe Hai.

Have Fun

Ham Sab Jante Hai Ki First Swim Meet Hmesa Se Kafi Stressful Hoti Hai Even Swimmers Se Jyada Unke Parents Stree Me Rhte Hai Ki Sare Gears Rakhe Hai Ki Nahi, Snacks, Wet Towel Aur Bhi Sari Swimming Ki Chize Ready Hai Ki Nahi In Sab Chizo Me Presan Rhte Hai. Jabki First Swim Meet Ka Main Goal Sirf Fun Hona Chahiye, New Friends Bnane Chahiye, Parents Ko Bhi Dusre Parents Se Mil Kar Baat Krna Chahiye, Jo Experience Swimmer Hai Unse Tips Leni Chahiye, Naki Stress Me Rah Kar First Meet Ko Khrab Krna Chahiye. Lekin Jyadatar Parents Or Swimmer Stress Me Hi Puri Meet Nikal Dete Hai Or Kafi Sari Chizo Ko Discover Karne Se Chuuk Jate Hai.

Question Or Answer

First Meet Me Kabhi Bhi Question Karne Se Piche Nahi Htna Chahiye, Ho Skta Hai Aapko Heat Sheet Ke Bare Me Na Pta Ho, Ya Whistles Kab Kab Hogi Or Kyu Hogi Iska Koi Idea Na Ho To, Aap Dusro Se Question Kriye Or Janiye Ki Ye Sab Kya Chiz Hai Or Kyu Hai, Jitni Jaldi Aap Ye Sab Chiz Jaan Jaynge Utni Jaldi Aap Comfortable Feel Krenge. Or Agar Aap Ki Ye 2nd Ya 3rd Meet Hai To Aap New Parents Ki Help Bhi Kar Skte Hai Kyuki Sayad Aap Jante Honge Ki First Meet Me Sari Chizo Ko Smjhne Me Kitni Dikkat Hoti Hai.

Coach Ki Baate Sune

Warm-Up Times,Location,Events In Sab Chizo Par Swimmer Ko Kya Krna Hai Kya Mind Set Lekar Present Hona Hai Ye Apko Coach Hi Guide Kar Skta Hai Isliye Coach Ki Bato Par Khas Dhyan De. New Swimmers Ko Jyadatar Relay Ke Through Judge Kiya Jata Hai Or Parents Ke Andar Kafi Excitement Rhti Hai Ki Unka Beta/Beti Kaisa Perform Kar Rha/Rhi Hai. Lekin Iss Excitement Me Ye Mat Bhuliye Ki Apko Deck Par Jane Ki Permission Nahi Hoti Hai. Isliye Sare Rules Ko Ek Baar Jaan Lena Chahiye.

Swim Meets Pura Great Experiences Se Bhra Hua Hota Hai

Ye Wo Time Hai Jab Apko Celebrate Karna Chahiye Ki Apka Swimmer Ab Meets Ke Liye Ready Ho Chuka Hai Or Iss Meet Ke Baad Se Ek Positive Aim Lekar Usko Aage Bdhana Hai, First Meet Sirf Learn Karne Ke Liye Tha Lekin Next Meet Sayad Podium Par Jane Ka Ho. Enjoy It!

Join Us:-

Rules:-

  • Sirf Swimming Related Topic Hi Group Me Dale.
  • Swimming Related Questions Ya Apni Swimming Video Group Me Share Kar Skte Hai
  • Swimming Ke Alawa Koi Bhi Message Krne Wale Ko Group Se Remove Kar Diya Jayega

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »