Fast Butterfly Karne Ke Liye 2 Great Tips

by SwimSwam Contributors 0

August 14th, 2018 Hindi

Courtesy Of Gary Hall Sr., 10-Time World Record Holder, 3-Time Olympian, 1976 Olympic Games US Flagbearer And The Race Club Co-Founder.

Butterfly Ek Challenging Stroke Hai, Kisi Bhi Moderate Distance Ke Liye Isko Perform Karna And Sustain Karna Difficult Hota Hai. Iska Reason Ye Hai Ki Ye Stroke Law Of Inertia Ko Theek Se Follow Nahi Karta Hai Jiske Karan Energy Ki Jyada Jarurat Hoti Hai Butterfly Ki Lagbhag Sari Propulsion Stroke Ke 2 Key Point Se Aati Hai And Wo 2 Key Point Hai – Down Kicks. First Down Kick Tab Kari Jati Hai Jab Hands Se Backwards Push Kiya Jata Hai. 2nd Down Kick Ko Arm Ki Entry Ke Sath Timed Karna Padta Hai.

In Dono Points Ke Beech Me Jyada Tar Body Ko Surface Ke Niche Hi Perform Karna Padta Hai Jisse Kafi Kam Propulsion Hota Hai And Usi Ke Karan Velocity Bhi Slow Ho Jati Hai, Jiska Result Ye Hota Hai Ki Swimmers Ko Kafi Hard Work Karna Padta Hai Ki Wo Apni Velocity Ko Dobara Back-Up Kar Le.

Niche Kuch Key Techniques Di Gyi Hai Jisse Ek Faster Butterfly Kari Ja Skti Hai.

  1. Strong kick develop karna

Butterfly And Breaststroke Ye Dono Stroke Kafi Jyada Kick Par Hi Depend Hote Hai. Agar Kick Strong Nahi Hogi To Sidhe Sidhe Butterfly Achhe Tarike Se Nahi Ho Payegi. Stroke Karte Wakt Jo 2 Down Kick Chalti Hai Wo Strong Hona Hi Chahiye Jisse Bidy Ko Ek Acha Forward Momentum Mil Sake And High Velocity Maintain Kari Ja Ske. Down Kick Karte Wakt Ye Dhyan Diya Jana Chahiye Ki Knees Ki Overbending Nahi Ho Means 60 Degrees Se Jyada Knees Nahi Bend Hona Chahiye. Ek Strong Up-Kick Ke Liye Hip Ki Flexing 30 Degree Se Jyada Na Ho Iss Baat Ka Bhi Dhyan Hona Chahiye. Iske Sath Planter Flexbility, Strong Lower Back, Hamstring And Calf Muscles Bhi Hona Jruri Hai Ek Ache Butterfly Stroke Ke Liye.

2. Breath ke liye shoulder ko over-elevate karne se bache

Front Breath Karte Wakt, Ye Bahut Hi Common Hai Ki Swimmers Apne Shoulders Ko Kafi Jyada Upar Utha Dete Hai. Higher Elevation Karne Se Baki Body Water Surface Ke Niche Ho Jati Hai Jiska Result Ye Hota Hai Ki Jo Second Down Kick Hoti Hai Uski Coupling Energy Kafi Increase Karni Padti Hai, Higher Elevation Karke Breath Lene Se Frontal Drag Bhi Kafi Badh Jata Hai, Jisse Speed Par Sidha Asar Padta Hai And Speed Slow Hone Lagti Hai.

Indian Swimming or International Swimming Ke News Janne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:- SwimSwamhindi

Join Us:-

 

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments