Agle 6 Month Me Best Result Pane Ki Best Approach

Ham 2018 Ke Mid Me Aa Chuke Hai And Abhi Bhi Kafi Athletes Search Kar Rhe Hai Ki Kaise Wo Apni Performace Behtar Kar Skte Hai, And Kuch Athletes Apne Raste Se Hi Bhatak Chuke Hai. Abhi Tak Ka Half Year Me Bhale Hai Athletes Ko Success Mila Ho Ya Complete Failure Lekin Fir Bhi Ham Agle Half Year Yani Agle 6 Month Me Bhi Correction Karke Chizo Ko Behtaar Bna Skte Hai. Uske Liye Aap Niche Diye Gaye 2 Points Ko Pdhe And Smjhe:

  1. Expectation Apke Work Se Match Nahi Kar Rhi
  2. Goal Set Krne Ki Skill Me Sudhaar Lane Ki Jarurat

1-Expectation Apke Work Se Match Nahi Kar Rhi

“Denial” Means Ham Kisi Chiz Ko Sahi Manne Se Inkaar Kar Dete Hai, Aisa Swimmers Akshar Krte Hai. Aapne Kafi Sari Swimming Race Kari Hongi, Apna Sara Effort Lgaya Hoga, Wall Touch Krne Ke Baad Jab Aap Results Ki Or Dekhte Hai To Aapne Jo Expectation Ki Thi Aap Usse Kam Result Pate Hai, Fir Aap Sochte Hai Ki Aapne Kaha Mistake Kar Di Race Me Jo Apka Result Apke Mutabik Nahi Aaya?

Kya Apne Practice Me Necessary Work Kiya ?

Ho Skta Hai Aapne Kuch Workout Miss Kar Diya Ho, Ho Skta Hai Aap Kisi Week Bimaar Ho Gye Ho Isliye Apne Apni Practice Ka Wo Week Workout Nahi Kiya Ho. Isliye Aapne Jo Work Practice Me Kiya Hai Usko Dekhiye And Janiye Ki Kaha Kami Rah Gyi. Tabhi Apki Expectation Apke Work Se Match Karne Lgegi.

2-Goal Set Krne Ki Skill Me Sudhaar Lane Ki Jarurat

Kuch Athlete Apne Goal Ko Sahi Se Set Nahi Kar Pate Matalb Unko Ye Idea Nahi Hota Hai Ki Jo Goal Wo Set Kar Rhe Hai Kya Wo Unke Strength Ke According Unke Liye Theek Hai Ya Nahi, Jaisa Ki Kuch Swimmer Target Karte Hai Ki Unko 200m Freestyle 2 Min Ke Andar Karna Hai Lekin Swimmer Ne Apne Goal Ke According Work Nahi Kiya To Last Me Use Nirasha Hi Hath Ayegi And Wo Fir Motivate Hone Ki Jagh Depressed Ho Jayega.  Goal Set Krne Ke Best Tarika Hai Small Goal Set Krke Aage Bdha Jaye, Jaise Agar Aap Abhi 50m Butterfly Ko 30sec Me Kar Rhe Hai To Aapko Ye Goal Set Karna Hai Ki 1 Month Me 30 Sec Ke Barrier Ko Todna Hai. Isse Apko Motivation Bhi Milega And Aap Goal Set Krna Bhi Smjh Lenge.

Indian Swimming or International Swimming Ke News Janne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:- SwimSwamhindi

Join Us:-

Rules:-

  • Sirf Swimming Related Topic Hi Group Me Dale.
  • Swimming Related Questions Ya Apni Swimming Video Group Me Share Kar Skte Hai
  • Swimming Ke Alawa Koi Bhi Message Krne Wale Ko Group Se Remove Kar Diya Jayega

 

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »