Paris Me 2 Raat Bina World Record, Kya Pool “Slow” Hai?

2024 PARIS SUMMER OLYMPIC GAMES

2024 Paris Olympics Ke 2 Nights Me Zero World Records Bane. Pichli baar jab competition ke ek din ke baad bhi koi World Record nahi toota tha, woh 1992 tha, lekin ab hum third night mein enter ho rahe hain zero records ke sath.

“Slow pool” ka topic chalu hai kyunki day 1 prelims mein top times Tokyo ke prelims se slow the. Phir, day 2 prelims mein sirf do log 1:46 mark ke neeche gaye, jabki Tokyo mein 10 aur Rio mein chaar log is mark ke neeche the.

Men’s 100 breaststroke night 2 pe bhi Tokyo ke comparison mein kaafi slow tha. Tokyo mein saat finalists 59-second mark ke neeche the, jabki kal raat koi bhi is mark ke neeche nahi gaya. Italy ke Nicolo Martinenghi ne 59.03 ke time ke saath gold jeeta.

“It wasn’t fast for anybody; we spoke to each other about it,” Nicolo Martinenghi ne gold jeetne ke baad kaha.

Ken Ono, jo University of Virginia mein mathematician hain aur Todd DeSorbo ke saath kaam karte hain, ne Yahoo Sports ko bataya, “The pool is fast compared to your neighborhood swim club. However, it is not ideal for record setting. Shallow depth iska primary reason hai. Maine kuch competitors se suna hai ki unhone apne dives ko (slightly) modify karna pada hai blocks se.”

Paris ka pool Tokyo ke pool se shallow hai. Paris La Defense Arena ke do 50-meter pools lagbhag 2.15 meters yaani 7 feet ke hain. Yeh Tokyo Olympics ke 2020 pool se over two and a half feet aur 31.5 inches, exact bole to, kam hai, kyunki woh pool 9 feet, 8 inches deep tha.

Sweden ki Sophie Hansson ne apne feelings pool ke baare mein Swedish-based Dagens Nyheter ko batayi, “It feels good in the swimming, and I can’t answer what it is that makes it not go faster.” Hansson ne 1:06.96 swim kiya women’s 100 breast semifinals mein aur final mein advance nahi hui. Yeh unke lifetime best aur national record time 1:05.66 se over a second slow tha.

Indian Swimming News Or International Swimming News Padhne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:-SwimSwamHindi

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »