Swim Mom: Disappointment Handle Karne Mei Kariye Apne Child Ki Help

Covid-19 Ki Wajah Se Abhi Bhi India Mei Swimming Pools Nahi Open Huye Hai Jis Wajah Se Teams Practice Bhi Nahi Kar Paa Rahi Hai Aur Competition Ke Seasons Bhi Cancel Ho Chuke Hai. Isliye Hamare Kids Uncertainity To Face Kar Hi Rahe Hai Aur Saath Hi Apne Friends, Schools, Aur Teams Ko Bhi Miss Kar Rahe Hai. Aur Ye Sab Disappointment Hamare Kids Kaise Handle Karte Honge Ye Kahna Bhi Bahot Mushqil Hai. Aur Isliye Ye Chiz Kids Ke Saath-Saath Parents Ke Liye Bhi Stressful Rahti Hai.

Aur Hum Log Apne Kids Ko, Kisi Bhi Tarah Ke Event Mei Kaise React Karna Hai Is Chiz Ke Bare Mei Growing Champions For Life Ke David Benzel Ne Recently Huye Webinar Mei Bahot Acche Se Aur Easily Explain Kiya Tha. Ek Talk Hui Thi, Jiska Naam Tha “Give Your Child Emotional Intelligence For Life,” Usme Unhone Discussed Kiya Tha Ki Hamari Life Mei Emotional Intelligence Or EQ Ki Importance IQ Se Jyada Hoti Hai. Unhone Kaha Ki Hum Log Apne IQ Ke Saath Born Hote Hai Aur Use Change Nahi Kar Sakte Hai, But Hum Log Apne EQ Ko Grow Aur Improve Kar Sakte Hai.

Benzel Ne Ye Bhi Explain Kiya Ki, Kyu Hamare Kids Ko Losing Itna Hurt Karta Hai Aur Kyu Kuch Kids Other Kids Ke Comparison Mei Jyada Hurt Ho Jaate Hai. Unhone Example Dete Huye Samjhaya Ki, Agar Aapka Kid Swim Meet Mei Ho Aur Wo Race Haar Jaaye To. Wo Kaise React Karega?

Pool Analogy Of Different Depths Of Water Ko Use Karte Huye Unhone Explain Kiya Ki Kis Tarah Kids Haarne Par Differently React Karte Hai.

Shallow End Mei, Child’s Ke Thought Hote Hai Ki “Maine Accha Perform Nhi Kiya.” Ye Aisi Chiz Hai Jis Par Wo Action Le Sakte Hai Aur Next Shot Ke Liye Ready Ho Sakte Hai. Pool Ke Middle Depth Ke Liye Unhone Jo Example Use Kiya, Wo Tha, “Mai Nahi Jeeta.” Aur Agar Bacche Ko Aisa Thought Aata Hai To Use Jarurat Hai Apne Goal Ko Change Karne Ki. Goal Kabhi Bhi Jeetne Ka Nahi Hona Chhaiye, Hamesha Learning Ka Goal Rakho. Agar Aapka Objective Hai Experience Gain Karna Aur Use Sikhna To Haarna Impossible Ho Jaata Hai. Deep End Mei, Agar Swimmer Sochta Hai Ki “Mai Accha Nhi Hu.” To Yaha Par Wo Khud Ko Apne Performance Se Equate Karne Lagte Hai. Aur Is Wajah Se Losing Kids Ke Liye Bahot Hi Emotional Aur Devastating Hota Hai. Race Ka Outcome Sirf Us Moment Ka Feedback Hota Hai Bass, Ye Decide Nahi Karta Hai Ki Aap Kya Hai.

Race Lose Karne Ke Event Aur Us Par Kids Ke Reaction Ke Beech Ka Moment Bahot Crucial Hota Hai Aur Ye Depend Karta Hai Ki Wo Log Khud Ko Kaisi Story Bolte Hai. For Example, Agar Wo Khud Ko Aisa Bolte Hai Ki “Mai Swimming Mei Accha Nhi Hu,” To Next Time Swimming Ke Time Wo Tentative Aur Nervous Feel Karenge. But Agar Unke Internal Thoughts Aise Rahe Ki “Wow, Ye Maine Kaise Kiya? Ye To Main Hi Hu,” To Phir Next Time Wo Aur Bhi Aggressively Aur Determined Ho Kar Aayenge.

Is Process Ko Kids Ke Saath Discuss Karne Par Unhe Samajh Mei Aa Jayega Ki Haarne Ke Baad Reaction Change Karne Ke Liye Unhe Khud Ko Acchi Story Sunani Hogi. “Mere Emotions Mere Thoughts Se Aate Hai. Mai Khud Apne Thoughts Ke Bare Mei Sochta Hun. Isliye, Mai Khud Apni Feelings Create Karta Hu Aur Mai Hi Iske Liye Responsible Hu,” Benzel Ne Kaha.

Uncertainty Ke Time Mei Apni Family Ke Saath Acche Se Conversation Karna Bahot Important Hai. Hume Apne Childrens Ke Liye Ek Empathetic Listener Banna Hoga. Even Though, Hum Har Chiz To Control Nhi Kar Sakte Hai, Unhe Ye Bhi Bataiye Ki Agar Unhe Disappointment Feel Ho Rahi Hai Toh Bhi Koi Baat Nahi. Hamare Children’s Ki Feeling Natural Hai Aur Justified Bhi. Is Time Ka Use Kariye Family Ke Saath Hone Wale Conversation Ko Improve Karne Ke Liye Aur Apne Children Ki Help Kariye Adversity Ke Time Mei Better Coping Skills Develop Karne Ke Liye.

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »