Ek Athlete Ka Parent Hona Kaisa Hota Hai

Kya Aapne Kabhi Socha Hai Ki Ek Swim Parent Banna Kaisa Hota Hai? Unke Daily Struggle, Work Life Aur Daily Life Mei Wo Kaise Balance Bana Kar Rakhte Hai. Toh Chaliye Aaj Hum Is Chiz Ke Bare Mei Hi Baat Karne Wale Hai.

Ek Swimmer Ka Parent Hone Ka Matlab Sirf Unki Victories Mei Saath Dene Se Hi Nahi Hota Hai. Jab Aapki Race Acchi Na Ho Rahi Ho, Results Aapke According Naa Aa Rahe Ho Tab Bhi Aap Ko Emotional Support Dene Ka Kaam Parents Ka Hota Hai. Kahne Ka Matlab Ye Hai Ki Chhahe Aapka Time Accha Chal Raha Ho Ya Bura Aapke Parents Hi Hai Jo Har Waqt Aapke Saath Khade Rahte Hai. Aapke Nutrition Se Lekar Aapke Practice Session Tak Wo Aapka Pura Dhyan Rakhte Hai.

Swimmer Ka Parent Hona Kaafi Hard Aur Exhausting Toh Hota Hi Hai But Unhe Sacrifice Bhi Bahot Karna Padta Hai:

Jab Puri City Aur Co-Workers Mast Ho Kar Neend Le Rahe Hote Hai Toh Ek Swimmer Ke Parent Ko Unse Bhi Pahle Uthna Hota Hai Breakfast Prepare Karne Ke Liye. Aur Ye Sirf Ek Din Baat Nahi Hoti Hai Unke Ye Pure Saal Ka Routine Hi Bann Jaata Hai. Har Din Wo Bag Pack Karke, Towel Wash Karke, Sab Equipments Prepare Kar Dete Hai.

Competitions Ke Time Mei Wo Kitna Dedicated Hote Hai Is Chiz Ke Bare Mei Ye Toh Hum Sab Jaante Hai:

Humse Bhi Jyada Dedicated Wo Hote Hai. Competition Same City Mei Bhi Ho Sakta Hai Ya Phir Us Whole Region Mei Bhi Ho Sakta Hai Aur Is Chiz Ke Liye Pure Organization Ki Requirement Hoti Hai. Par Parents Ki Wajah Se Hume Is Par Jyada Tension Lene Ki Jarurat Bhi Nahi Padti Hai.

Side Line Mei Time Spend Karte Huye Apne Young Ones Ko Dekhne Tak. Maine Ye Sikha Hai Ki Sirf Parents Hi Apne Children Par Proud Karte Hai But Young Athletes Bhi Apne Incredible Parents Par Bahot Proud Karte Hai Hamesha Unka Saath Dene Ke Liye.

Isi Ke Chalte Hamne Kuch Swimmers Ke Parents Se Baat Kari Aur Unse Jana Ki Ek Swim Parent Ki Life Kaise Gujarti Hai?

Paramjeet Sejwal

Paramjeet Sejwaal Jo Ki Father Hai Sidhant, Sameer And Pallavi Sejwaal Ke Unhone Btaya Ki-

“Iss COVID-19 Pandemic Me Swimmers Ki Physical And Mental Strength Ka Graph Ka Slope Downward Hota Ja Rha Hai Kyuki Ek Swimmer Ke Liye Sabse Jruri jo chiz Hai wo hai Swimming Pool, Competitive Swimming Ke Liye Ye Peak Time Hota Hai Lekin Iss peak of the season Me Swimmers Pool Me Nahi Ja Pa Raha Hai To Kaise Ek Swimmer Apni Performance Ko Improve Kar Sakta Hai?, 3 Month Tak Sirf Normal Home Workout Se Swimming Ki Performance Improve Karna Impossible Hai.”

Unhone Apni Baat Aage Bdhate Hue Bataya Ki “Swimming Ek Aisa Sport Hai Jisme Physical Power Ke Sath Sath Technique And Mental Power Ki Jarurat Hoti Hai, Lekin Iss Time Swimmers Ko Sabse Jyada Mental Pressure Mil Rha Hai Unke Future Ko Lekar”

Paramjeet Sejwal Apne Baccho Ke Father To Hai Lekin Physical Workout Me Wo Bhi Apne Baccho Ke Sath Participate Karte Hai, Taki Wo Apne Baccho Ko Motivate Kar Sake Or Mental Pressure Se Apne Baccho Ko Safe Kar Sake.

“Ek Swim Parent Hona Sirf Apne Baccho Ko Swimming Pool Tak Bhejne Se Bhi Jyada Badi Chiz Hoti Hai” – Paramjeet Sejwal

Shruti Mahalingam’s Mother

“Is Time Ham Jaise Sabhi Swim Parents Apne Baccho Ke Liye Coach, Motivator And Nutritionist Sab Kuch Hai, Ham Wait Kar Rhe Hai Ki Kab Hmare Swimmers Wapas Se Swimming Pool Me Utarenge And Apne Aim Ko Hasil Karne Ke Liye Apni Practice Start Karenge, Tabtak Ham Swim Parents Unko Demotivate Hone Se Bacha Rhe Hai”

“Koi Bhi Swim Parent Nahi Chahega Ki Unke Swimmers Ki Mehnat Itni Asani Se Barbad Ho Jaye Isliye Ham Swim Parents Se Jo Kuch Ho Sakta Hai Ham Wo Sab Kar Rhe Hai Taki Swimmers Apne Future Ko Lekar Negative Thoughts se Bach Sake”

Indian Swimming Ki News And Swimming Se Related Amazing Tips Janne Ke Liye Facebook Par SwimSwam Hindi Ko Jrur Like Kar Le.

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »