Indian Swimming Mei Ek Bahot Hi Recognized Naam Jinka 15 Years Ka Swimming Career Raha Hai Aur 600 Se Jyada Gold Medals Unki Credit Mei Hai, Nisha Millet First Indian Swimmer Thi Jinhone 200m Freestyle Mein Olympic Mei Qualify Kiya Tha Aur India Ko 2000 Sydney Olympics Mei Represent Kiya Tha.
Vo Kai Prestigious Awards Ki Winner Bhi Rah Chuki Hai Jaise Ki Arjuna Award (2000), Rajyotsava Award (2001), Eklavya Award (2002), & Indo American Young Achiever Award (2002), Saath Hi Nisha 100m Freestyle Mei One-Minute Barrier Ko Break Karne Ka Distinction Bhi Hold Karti Hai.
Itni Saari Personal Achievements Ke Alawa Nisha Ab Ek Mission Par Hai Jisme Wo Apni Country Ke Liya Value Add Karna Chahti Hai. 2006 Se Nisha, Bengaluru Mei Nisha Millet’s Swimming Academy Ki Founder Aur Director Ka Role Play Kar Rahi Hai. Unhone 12,000 Se Jyada Swimmers Aur Champions Ki Swimming Training Ki Hai. Aur Unke According Ab Sport Ko Bahot Jyada Jarurat Hai Unki Tarah Hi Baaki Ex-Sportsperson Aaye Aur Young Players Ko Training De.
“Kuch Naye Schools Swimming Facilities Offer To Karte Hai Par Abhi Hume School Childrens Ke Beech Mei Cricket Aur Badminton Ki Tarah Popular Hone Ke Liye Kaafi Lamba Raasta Tay Karna Baaki Hai,” Unhone Kaha.
Unhone Is Fact Par Afsos Jatate Huye Kaha Ki Abhi Bhi Educational Institutions Physical Education Aur Sports Ko Seriously Nahi Lete Hai, Aur Is Category Ke Teachers Ko Abhi Bhi Bahot Kam Salaries Di Jaati Hai,Aur Ye Chiz Unme Se Jyada Teachers Ko Is Field Mei Career Banana Ka Sochne Ke Liye Discourage Kar Deti Hai.
“Hume Jarurat Hai Ki 30% Ex-Sportsperson Sports Se Retire Hone Ke Private Ya Government Job Karne Se Accha Sports Me Return Aakar New Comers Ko Training De,” Nisha Ne Kaha Jo Ki 6 Years Old Twins Adele Aur Ariana Ki Mother Hai.
Unki Academy World Mei Swimming Aur Water Safety Ke Liye Sabse Respected Accreditation Organization Se Affiliated Hai, Aur Wo Teachers Ko Regulary Training Ke Liye Australia Bhejte Hai. Hum Bachcho Ko Dara Ke Sikhane Ke Bajay Is Eek Mazedaar Process Bana Kar Bachcho Ko Sikhate Hai,” Nisha Ne Kaha.
Childrens Ke Alawa, Adults Bhi Academy Mei Enrolment Kara Rahe Hai Jo Ki India Mei 1st Time Hone Jaa Rahi Ironman Race Mei Participate Karenge Aur Isi Liye Vo Yaha Practice Karne Aate Hai,Ye Race October 2020 Mei Goa Mei Hone Wali Hai. Yah World Ka Sabse Prestigious Triathlon Event Hone Wala Hai Jisme Open-Water Swimming, Cycling Aur Running Bhi Involve Hogi. Log Race Se Pahle Apna Endurance Aur Swimming Skills Ko Improve Karne Hamare Paas Aate Hai,” Nisha Ne Bataya. – CNBCTV18
Indian Swimming Or International Swimming Ke News Janne Ke Liye Facebook Par SwimSwam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:- SwimSwamHindi