Senior National Me Sajan Prakash Ne Jeeta Gold, Srihari Nataraj Hue 2nd

73nd Glenmark Senior National Aquatic Championships 2019

  • Date: 31st August – 4th September 2019
  • Address: Prakash Taran Pushkar, Link Road No.1, Tulsi Nagar, Bhopal
  • Course: 50m
  • Host: Madhya Pradesh Swimming Association

Glenmark 73nd Senior National Aquatic Championships 2019 31st August – 4th September 2019 Tak Prakash Taran Pushkar, Link Road No.1, Tulsi Nagar, Bhopal Me Hoga, Is Championships Ko Madhya Pradesh Swimming Association Organize Kra Rha Hai.

Jaisa Ki Hum Sabhi Jaante Hai Ki Saturday Se Hi Bhopal Mein 73rd National Aquatic Championship Ki Shuruwat Bade Hi Acche Dhang Se Ho Chuki Hai. Is Event Ke Starting Mein Hi India Ke Best Swimmers Mein Se Ek Sajan Prakash Ne Apne Jalwe Bikherna Shuru Kar Diya Hai. Unhone Men’s 200m Medley Event Mein Behatreen Performance Dete Huye Gold Medal Apne Naam Kar Liya Hai. Unhone Is Event Mein 2 Minutes 05.89 Seconds Ka Time Liya. Sajan Prakash Ne 2018 Me 02:05.83 Ke Time Me Record Bnaya Tha Jisko Sajan Abki Baar Bahut Hi Kam Difference Se Break Karne Se Rah Gye. Indian Swimming Ke Rising Star And Poster Boy Kahe Jane Wale Srihari Nataraj Bhi Isi Event Me Participate Kar Rhe The Lekin Sajan Ne Is Event Me Dominate Karte Hue 1st Position Hasil Kari And Srihari Ko 2nd Position Par Rahna Pda. Srihari Ne 2:06.46 Ka Samay Lagaya. Unki Team Ke Saathi Siva S(2:06.69s) Ke Saath 3rd Position Par Rahe.

Sajan Ab Tuesday Ko 100m Butterfly Mein Aur Wedneday Ko 200m Butterfly Mein Participate Karenge Aur 100m, 200m Buttefly Sajan Ka Favourite Event Hai. Sajan Pahle Hi 200m Butterfly Ke Liye Qualify Kar Chuke Hai, Lekin Vah Keval ‘B’ Manak Tha.Unhone Kaha Ki “Mai Aasha Karta Hun Ki Yaha Par Mai ‘A’ Standard Ke Liye Qualify Kar Saku.”

Sajan Ne TOI Se Baat Karte Huye Bataya Ki, “Mera Target 2020 Ke Tokyo Olympic Games Ke Liye Olympic Qualification Standard Achieve Karna Hai. Medal Mere Liye Competitive Event Nahi Tha, Lekin Yah Mere Liye Ek Warm-Up Event Tha.”

Is Beech, Kerala Ki Men’s 4*200 M Relay Team Mein Arjun Anesh K, Akash S, Arun M, Aur Amal A Shaamil The Jinhone Final Mein 7th Position Haasil Karne Mein 8:46.12 Ka Samay Liya. 4*50m Medley Mixed Relay Final Mein,Kerala Team- Aaron J Thomas, Liyana Fathima Umer, Suneesh S, Greeshma P- 8th Position Par Rahi.

Other News:

Glenmark 73nd Senior National Aquatic Championships 2019   

News, Tips And Workout Ke Liye Aap Swimswam Hindi Ko Visit Karte Rahe And Facebook Par Bhi Swimswam Hindi Ko Like Kar Le.

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
newest
oldest most voted
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »