Swimming Karne Ke Fayde

Ham Aaj General Topic Ke Upar Baat Krnge Joki Swimming Se Hone Wale Fayde Par Hai. Swimming Se Poore Body Ka Yoga Ho Jata Hai Sirf Aadhe Ghante Swimming Kerne Se Apki Body Me Se 440 Calorie Tk Km Ho Jati Hai Kai Baar Swimming Karne Se “Tanning” Jaisi Problems Bhi Ho Sekti Hai Tanning Se Bachne Ke Liye Zaroori Hai Ki Pool Me Uterne Se Pehle Ap Apne Body Pe Ache Se Moisturizer Lga Le Is Article Ke Zeriye Hum Apko Btane Ja Rhe Hai Swimming Kerne Se Hone Wale Benefits. Stress Se Rahat Dene Aur Apke Heart Ko Majboot Kerne Me Swimming Kafi Help Kerti Hai

Swimming Ek Art Ke Saath Yoga Bhi Hai Ye Health Ke Liye Bahut Hi  Faydemand Hai Swimming Kerne Se Kyi Types Ki Bimario Ka Khtra Bhi Km Hota Hi Hai Saath Hi Apki Body Bhi Majboot Hoti Hai.

Blood Ka Flow

Swimming Kerne Se Body Ke Andar Khoon Ka Prabhav Badhta Hai Aur Apko Tenaav Or Dard Se Raahat Milti Hai Khoon Ka Prabhav Badhne Se Aap Active Rehte Hai Aur Kisi Bhi Kaam Ko Zyada Focus Ke Sath Kerte Hai.

Muscles Ki Improvement

Agar Aap Regular Swimming Kerte Hai To Apko  Koi Aur Exercise Kerne Ki Zaroorat Nhi Hai Swimming Kerne Se Apki Muscles Badhti Hai Aur Mazboot Bhi Hoti Hai Swimming Karne Ke Dauraan Zameen Pe Exercise Kerne Ki Tulna Me 12 Times Jyada Mehnat Lagti Hai Swimming Kerne Se Apki Body Ke Joints Kafi Powerful Hote Hai.

“Arthritis” Rog Se Bachav

Arthritis- Jisme Haddiyo Ke Joints Me Problem Ho Jati Hai

Regular Swimming Kerne Se Apke Body Ke Joints Majboot Hote Hai Joints Majboot Hone Se Apko Future Me Arthritis Namak Rog Ka Khtra Kafi Kam Ho Jata Hai Arthritis Se Bechav Ke Liye Kyi Aur Type Ki Aerobics Exercise Kerne Ki Selaah Bhi Di Jati Hai Hot Water Se Sikai Kerne Pr Bhi Arthritis Ke Pain Se Relief Milta Hai.

Body Me Flexibility

Body Me Zyada Se Zyada Flexibility Lane Ke Liye Kai Log Gym Aur Other Exercises Ki Help Lete Hai Swimming Kerna Ek Aisa Gym Hai Jisse Apke Body Ke Har Part Me Flexibility Bni Rehti Hai.

Heart Powerful Hota Hai

Swimming Ek Type Ki Aerobics Exercise Hai Aur Is Se Apke Heart Ki Muscles Kafi Mazboot Hoti Hai Isse Apke Pure Body Me Khoon Ka Flow Kafi Acha Rehta Hai Kyi Research Se Ye Baat Bhi Saamne Aayi Hai Ki Daily Aadhe Ghante Tk Swimming Kerne Se Ladies Ko Coronary Heart Disease Hone Ka Khatra 30 Se 40 % Tk Km Ho Jata Hai.

Indian Swimming or International Swimming Ke News Janne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:- SwimSwamhindi

Join Us:-

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »