27 Saal Baad Uttar Pradesh Ko Mila Phla Medal, Ansh Arora Ne Jeeta Silver Medal

73nd Glenmark Senior National Aquatic Championships 2019

  • Date: 31st August – 4th September 2019
  • Address: Prakash Taran Pushkar, Link Road No.1, Tulsi Nagar, Bhopal
  • Course: 50m
  • Host: Madhya Pradesh Swimming Association

Glenmark 73nd Senior National Aquatic Championships 2019 31st August – 4th September 2019 Tak Prakash Taran Pushkar, Link Road No.1, Tulsi Nagar, Bhopal Me Hoga, Is Championships Ko Madhya Pradesh Swimming Association Organize Kra Rha Hai.

Is Championships Me Kafi Sare National Records To Break Hote Dikh Hi Rhe Hai Lekin Isi Beech Ek Aisi News Bhi Samne Aayi Jo Ki Behad Khas Hai. Ansh Arora Ne Uttar Pradesh State Ke Liye Silver Medal Jeeta And Uttar Pradesh Ko 27 Saal Baad Jakar Medal Naseeb Hua. Ansh Arora Uttar Pradesh And National Level Par Apne Breaststroke Ke Liye Jane Jate Hai And Ye Medal Bhi Ansh Ne 50m Breaststroke Me Jeeta, Unhone Apni Race 29.38 Me Complete Kar Silver Medal Hasil Kiya. Prelims Me Ansh Ne 29.45 Ka Time Dekar Finals Ke Liye 3rd Fastest Qualifier Hue. Or Finals Me Apna Time Improve Karte Hue Silver Medal Hasil Kiya.

27 Saal Phle Uttar Pradesh Ke Liye Mirzapur Ke Kailash Nath Ne 1500m Freestyle Swimming Me Bronze Medal Jeeta Tha, Uske Baad Se UP Ke Kisi Bhi Swimmer Ne Senior National Me Medal Nahi Jeeta Tha.

Men, 50m Breastsroke Final

1.    Likhit S P – Karnataka- 28.54 (Gold)

2.    Ansh Arora – Uttar Pradesh – 28.38(Silver)

3.    Danush S- Tamil Nadu – 29.57(Bronze)

News, Tips and Workout Ke Liye Aap SwimSwam Hindi Ko Visit Karte Rahe And Facebook Par Bhi SwimSwam Hindi Ko Like Kar Le.

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »