2028 Olympics Ke Liye Abhi Se Preparation Jaruri – Sajan Prakash

Firstpost Par Sajan Ki Ek news Publish hui Jinhone btaya ki “2028 Olympics ki preparation ab start honi chahiye” Sajan Prakash hmesa ki tarah pool me kuch na kuch bada achieve karte aye hai . 25 year ke sajan prakash jo ki Kerala ke rhne wale hai and jinki training thailand me spain ke Miguel lopez and national coach Pradeep Kumar ke under me chalti aa rhi hai. Inhone 2016 me International Swimming Federation (FINA) ki scholarship hasil kari and Rio Olympics me participate kiya. Abroad training Krne se definitely swimmer ko huge benefits hua hai.

Last year Asian Games me 200m Butterfly me Sajan First Indian ho gye jinhone iss event me 32 saal baad  Final me apni jagah bnayi ho. Sajan ne 1:57.75 ka time krte hue India Record bhi apne name kiya and final me 5th position hasil kari thi. Iske baad senior national me inhone apne iss time ko improve krte hue 1:57.73 ka behtareen time kiya. Inhone senior national me 5 gold jeete.

Bina kisi shak ke FINA ki scholarship Sajan Ke liye ek blessing rhi lekin swimmer apne opinion par jme hue hai ki unko govt se or help ki jarurat hai.

Hme support chahiye. Hme scholarship mili hai iska matlb ye nahi ki hme or support ki jarurat nahi hai. Agar aap competitions ya training ke liye bahar jate ho and agar aap chahte hai ki ham best ke sath compete kare or uss competition se kuch hasil kare to we need more. Sirf mujhe nahi balki bohot se swimmers aise hai jo apne pockets se khrch karte hai,”Sajan ne Firstpost ko ye baat btayi.

Chizo ko improve hona chahiye. Itna kafi nahi hai. Olympics me Swimming kafi sare medals offer karta hai lekin apne countries and unke Camps and competitions jaise chizo ke investment ko dekha hoga. Hme dekhna hoga ki kaise ham long term me medals jeet sakte hai. Agar aapk 2028 Olympics me kuch achieve karna hai to aapko apni planning abhi se start karni pdegi. Ye ek bada challenge hoga,” sajan ne bataya

Country ke talent ke bare me Sajan ne bataya ki Country me bohot talent hai lekin unko pata nahi ki wo apne talent ka use kaise kar skte hai and unke pass support ki bhi kami hai.

Indian Swimming or International Swimming Ke News Janne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:- SwimSwamhindi

Join Us:-

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »