Training Ki Intensity Measure Kare Lactate Se – Part 1

Lactic Acid Muscles Me Acidity Ko Increase Karta Hai Jisse Kabhi Kabhi High Intensity Ki Exercise Karne Par Hmari Muscles Me Cramp Aa Jata Hai And Ham Apni Race Ka Finishing Part Full Effort Ke Sath Nahi Kar Pate Hai, Lactic Acid Ko Thoda Or Detail Me Aaj Mai Apko Iss Article Ke Through Btane Ja Rha Hu.

Training Ke Time Lactate Ko Measure Karne Se Ham Jan Pate Hai Ki Exercise Kitni Intensity Ke Sath Ki Ja Rhi Hai And Iske Sath Sath Muscles Se Kitni Energy Lgayi Ja Rhi Hai.

Lactate, Training Ki Intensity Ko Bdhata Hai And Iss Baat Ki Jankari Deta Hai Ki Exercise Kaise Metabolic System Ki Process Ko Shuru Karta Hai. Training Ke Time Metabolic Characteristics And Muscular Activity Ko Ham Relate Kar Skte Hai.

Lactate Ko Ham Sahi Tarike Se Kaise Measure Kar Skte Hai?

Safe Test Ke Liye Ham Arterial Blood(Ear Lobe Se Ya Fir Fingertip) Se Le Skte Hai Kyuki Exercise Ke Baad Ham Yaha Se Lactate Ki Highest Concentration Pa Skte Hai And Isi Se Ham Sahi Sahi Jaan Skte Hai Ki Athlete Ki Muscles Me Kitna Lactate Ban Rha Hai.

Lactate Muscles Se Blood Stream Me Apne Aap Chla Jata Hai Jisse Ham Blood Ke Through Lactate Ko Measure Kar Pate Hai, Hmesa 2 Sample Lekar Hi Lactate Ko Test Krna Chahiye, And Swimmers Ke Liye Wo Do Sample Kab Lena Hai Usko Bhi Chaliye Dekhte Hai.

100m Ya 100m Se Jyada Full Speed Swim Karne Ke Baad Ham 2 Sample Lenge Phla Sample Swimming Krne Ke 1min Baad And Second Sample 3min Baad, Agar Reading 1st Sample Se Jyada 2nd Me Show Hoti Hai To Ham 3rd Sample Lenge Jo Ki 5 Min Ke Difference Par Rhega And Agar 3rd Sample Me Bhi Lactate Increase Milta Hai To Ham Additional Sample Lenge Jabtak Ki Lactate Drop Hona Na Shuru Ho Jaye.

*Short Race Ko Full Speed Me Krne Ke Baad Akshar Lactate Kafi Der Tak Bnta Rhata Hai Isliye Hme Jyada Samples Ki Jrurat Pdti Hai.

Aerobic Capacity- Aerobic Capacity Ko Evaluate Karna Kafi Easy Hota Hai. Jiski Aerobic Capacity Jyada Hogi Usse Aap Kya Kya Expect Kar Skte Hai:-

  1. Good Performance In Training
  2. Higher Amount Of Training
  3. High Intensity Training

Jitna Jyada Aerobic System Ham Develop Karenge Utni Jyda Oxygen Ham Swimming Me Kafi Tezi Se Use Kar Payenge. Aerobic Capacity Hona Kafi Important Hota Hai Kyuki Ye Medium Ya Long Event Ki Performance Ko Determine Karta Hai. Aerobic System Me Jo Energy Release Hoti Hai Wo Hmesa Anaerobic System Se Release Hui Enrgy Se Kam Hoti Hai.

Sprinters Ke Sath Sath Long Distance Swimmers Ke Pass Bhi Aerobic Capacity Honi Chahiye

Ek Stimulation Program Me Jab Elite Sprinters And Long Distance Swimmers Ki Performance Compare Ki Gayi To Ye Confirm Kiya Gya Ki Dono Tarah Ke Swimmers Ko Aerobic And Anaerobic System Ki Jarurat Hai. And Sprinters Ko Jyada Complete Athletes Mana Gya Long Distance Swimmers Ke Comparison.

Long Distance Swimmers Apni Performance Boost Krne Ke Liye Unke Pass Excellent Aerobic And Low Anaerobic Capacity Honi Chahiye.

Kul Milakar Swimmers, Jinke Pass Better Aerobic Capacity Hai Hai Wo Competition Me Acha Results Dete Hai.

Iske Alawa Bhi Kuch Khas Reason Hai Jiske Liye Aerobic Capacity Hona Kafi Important Ho Jata Hai:

Results Of Training:

  1. Ek Intense Training Ke Baad Koi Bhi Athlete Jaldi Recover Kar Skta Hai, Iska Matlb Hai Wo Jyada Intense Wali Training Kar Skta Hai.
  2. Competition Me Jab Swimmers Ke Event Ek Ke Baad Ek Lag Jate Hai To Wo Jaldi Recover Tabhi Kar Payega Jab Swimmers Ke Pass Ek Achi Aerobic Capacity Rhegi.

Aerobic Capacity Speed Up Krti Hai:

  1. Creatine-Phosphate Ka Regeneration(Jo Ki Exercise Ke Turant Baad Start Ho Jata Hai)
  2. Lactate Ka Elimination Krti Hai.
  3. Training Ke Phle And Training Ke Baad Lactate Ko Eliminate Karne Me Kafi Help Karti Hai.

Ye Jaruri Hai Ki Lactate Level Wapas Normal Ho Jab Swimmers Rest Period Me Ho Jisse Unko Full Recovery Mil Ske.

*Next Part Me Ham Iske Bare Me And Dekhenge Kuch Aerobic And Anaerobic Workout Ko Bhi

Indian Swimming or International Swimming Ke News Janne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:- SwimSwamhindi

Join Us:-

Rules:-

  • Sirf Swimming Related Topic Hi Group Me Dale.
  • Swimming Related Questions Ya Apni Swimming Video Group Me Share Kar Skte Hai
  • Swimming Ke Alawa Koi Bhi Message Krne Wale Ko Group Se Remove Kar Diya Jayega

 

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »