Natasha Patnaik Representing India At The World School Games Budapest

Natasha Patnaik Jo Ki Hydrabad Se Belong Krti Hai Wo World School Game Me India Ko Represent Krne Ke Liye Puri Trah Tyar Ho Chuki Hai , Natasha Patnaik India Ko World School Game Me Under 17 Category Me Represent Krengi. Is Baar World School Game 20-25 April Ko Budapest, Hungry Me Ho Rha Hai Aur Natasha Patnaik, 14 Saal Ki Eklauti Ladki South Indian Girl Hai Jo India Ko World School Game Me Represent Kregi.

Natasha Patnaik Ko Swimming Se Pyar Tab Hua Jab Wo 9 Saal Ki Thi. Apne Coach(John Siddiqui) Ki Guidance Me Natasha Patnaik Ne Junior Or Senior National Jaise Competition Me Gold, Silver Aur Bronze Medal Jite Hai.

Natasha Patnaik Ne Btaya Ki Wo India Ko International Level Par Represent Krne Ke Liye Kafi Jyada Khus Hai Kyuki Ye Bahut Bda Platform Hai, Natasha Patnaik

Ne Apni Baat Ko Aage Bdhate Hue Kaha Ki 14 Saal Ki Age Me Ye Ek Bahut Badi Achievement Hai  Ki Wo World School Ke Liye Select Hui Hai Aur Apni Country Ko Represent Krne Ja Rhi Hai. Aur Ye Bhi Btaya Ki Use India Ki Jersey Phle Hi Mil Chuki Hai. Last Sunday Ko Pune Me School Games Federation Dwara Trial Hue The Or Usme Unhi Participant Ka Selection Hua Jiske Sabse Jyada Points The Or Mujhe Sabse Jyada Points Mile. Ha Mujhe Pta Hai Ki World School Games Me Kafi Diggaj Competitor Aane Wale Hai Lekin Mai Apna Best Dene Ke Liye Tyar Hu.

Jab Natasha Se Pucha Gya Ki Usko Kya Kya Challenges Face Krne Pde To Uska Jwab Tha Ki :- Swimming Ke Sath Study Krna Kafi Jyada Muskil Tha, History Or Biology Mere Favorites Subject Hai Aur Mai Apni Study Nahi Chod Skti, Aur Ye Sirf Passion Hai Ki Mai Dono Ko Balance Kar Payi.

Natasha Din Me 6 Ghante Practice Krti Hai, Jisme Swimming Exercise Jaise Work Include Hai. “Mere Parents Mere Sabse Bde Supporter Hai” Meri Maa Ke Encouragement  Ke Bina Mai Ye Sab Nahi Hasil Kar Skti Thi.

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
newest
oldest most voted
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »