Mohammad Shams Aalam Shaikh is Aiming For The 2018 Para Asian Games

30 Saal Ke Para-Swimmer Mohammad Shams Aalam Shaikh Ka Lakshy 2018 Ke Para Asian Games Par Hai.

Iske Phle Mai Shams Ke Bare Me Apko Bta Du Ki Shams Ne Education Me Mechanical Engineering(B.Tech) Ki Hai, Shams Karate Me  Black Belt Holder Bhi Rah Chuke Hai Aur Iske Sath Ki Shams Ek Qualified Coach Bhi Hai.

Lekin 2010 Me Spine Tumour Ke Karan Shams Ko Kafi Sare Operation Se Gujrna Pda Lekin Shams Paraplegic Ho Chuke The.

24 Ki Age Me Shams Paraplegic Foundation Se Jud Gye Jo Ki Ek Ngo Hai Ngo Ke Judne Ke Sath Hi Doctors Ne Shams Ko Swimming Karne Ki Salah Di Taki Shams Ki Body Me Movement Ho, Butterfly Swimming Hi Wo Stroke Tha Jisne Shams Ke 100% Disability Ko 72% Kar Diya.

December 2012 Me, Shams Ne Chennai Me 12th Para Swimming Championship Me Bronze Medal Jeeta Tha. Pichhale Saal Shams Ne Indore Mein Aayojit Championship Me 4 Gold Medal Jeete The Aur Unhe Best Swimmer Ke Lie Ek Trophy Bhi Mili Thi. Present Time Me, Shams Chennai Me Satyabama University Mein Mba Kar Rahe Hain Jahaan Unhe Scholarship Ke Offered Kiya Gya.    

Sham Indian Navy Dwara Organised 6km Open Water Swimming Ko Safalta Ke Sath Pura Krne Wale Phle Indian Bne Or Isi Ke Liye Shams Ke Name Ko Limca Book Of World Record Me Bhi Shamil Kiya Gya.

Shams Ke Jaise Kafi Para-Swimmers India Me Struggle Kar Rhe Hai Or Shams  Ne Btaya Ki Usne Sponsorship Ke Liye Apply Kiya Tha Lekin Government Dwara Koi Bhi Action Nahi Liya Gya Apni Baat Ko Aage Bdhate Hue Shams Ne Btaya Ki Maharashtra Ki Condition Aisi Hai Ki Koi Bhi Ham Jaise Viklang Log Ki Baat Nahi Sunta Hai. Iske Alawa Haryana, Punjab, Bihar, Delhi Me Ham Jaise Para-Athletes Ke Gold Medal Lane Par 3 Lakhs Ki Financial Aid Milti Hai.

Shams Is Looking For A Sponsor Who Can Take Care Of His Training And Equipment Expenses On Yearly Basis,  In Addition To His International Para Swimming World Series Which Is Going To Be Held At Berlin Germany From 6th To 9th July 2017. 

Contact Details:-

Mobile Number – +919892760595

Aaccount Number For Donation – 30444191075 Sbi Bandra Turner Road Branch Mumbai.

“Yearly Expenses For Training And Development Rupees 250000/.”

Shams Aalam, Satendra Singh Jaise Or Bhi National International Para-Athletes Hamare Desh Me Hai Jinke Andar Ke Junun Hai Kuch Krne Ka Aur Jisko Sayad Hmari Government Andekha Kar Rhi Hai, India Ke Logo Me Har Field Me Baki Countries Se Jyada Potential Hai Lekin Ham Sports Me Piche Kyu Ho Jate Hai ?Jab Baat Olympics Ki Aati Hai To Kya Olympics Hmare Irado Se Bda Hai Kya? Olympics Me Gold Lana Hamare Bas Ki Baat Nahi Hai Kya?

Ham Sabne Bachpan Me Ek Baat Sikhi Thi Ki “Unity Me Jitni Power Hai Utni Power Kisi Me Nahi”. To Abhi Tak Ham Log Chup Kyu Hai ? Ham Sab Log Jante Hai Ki Sports Ke Paise Ka Government Ke Kuch Employee Kaisa Use Krte Hai…. Isliye Ek Unity Ke Sath Is Awaaj Ko Uthana Hogataki Jo Deserving Hai Use Uska Haq Mile…

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »