Khade Ne Maharashtra Me Pools Ko Kholne Ke Liye Aditya Thackeray Se Ki Request

The Bridge Par Nikli News Jisme Btaya Gaya Ki Asian Games Mei Bronze Medal Jeetne Wale Swimmer Virdhawal Khade Ne Maharashtra Ke Tourism Minister Aaditya Thackeray Se Monday Ko Mulakat Ki Aur State Mei Swimming Pools Ko Re-Open Karne Ki Bhi Request Ki. Maharashtra Me Pichle 7 Months Se COVID 19 Pandemic Ki Wajah Se Pools Closed Hai.

Union Home Ministry Ne Strict Health Safety Protocols Ke Saath Training Purposes Ke Liye Pools Ki Re-Opening Allowed Kar Di Hai. “Dynamic Hon. @Authackerayji Se Aaj Milkar Kaafi Accha Laga. Maharashtra Ke Sabhi Young Swimmers Aur Swimming Pool Staff Ke Behalf Mei Maharashtra Mei Swimming Pools Open Karne Ki Request Bhi Submit Kiya. Thank You @Ahirsachinahir Sir Is Support Aur Pyaar Ke Liye,” Khade Ne Tweet Kiya.

Usi Same Tweet Mei, Khade Ne Wo Letter Bhi Share Kiya Jo Unhone Thackeray Ko Hand Over Kiya Tha. Khade State Government Employee Hai Aur Apni Job Par Focus Karne Ki Wajah Se Unhone Recently Hi Dubai Ka Trip Bhi Miss Kiya. Thackeray Ko Diye Huye Unke Letter Mei Unhone Resumption Ki Baat Ki Hai, Swimmers Aur Coaches Ke Current Plight Ko Dikhate Huye.

“Other States Ne Swimming Facilities Open Kar Di Hai Aur Swimming Federation Of India Ne Already Future Mei Hone Wale Age Group National Level Championship Ki Planning Start Kar Di Hai. Maharashtra Aur Uske Young Swimmers Already Big Disadvantage Mei Hai Kyu Ki State Mei Lockdown Ko Bhi Extend Kar Diya Gaya Hai,” Unhone Likha.

“Mai Aasha Karta Hu Ki Hamare Youngsters Situation Ki Wajah Se Give Up Nahi Karenge. Mai Truly Believe Karta Hu Ki Unhe Hare K Competition Mei Fair Chance Diya Jayega Taaki Wo Hard Work Kar Ke Khud Ko Prove Kar Sake Aur Life Mei Challenges Lene Ke Liye Khud Ko Prepare Bhi Kar Sake,” Khade Ne Add Karte Huye Kaha.

Khade Ne Kaha Ki Thousands Of Coaches, Support Staff Aur Maintenance Workers Jo Ki Maharashtra Se Hai Aur Apni Livelihood Ke Liye Swimming Pools Par Depend Karte Hai, Unhone Apni Jobs Bhi Lost Kar Di Hogi.

Indian Swimming Ki News And Swimming Se Related Amazing Tips Janne Ke Liye Facebook Par SwimSwam Hindi Ko Jrur Like Kar Le.

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »