Janiye World Drowning Prevention Day 2022 Ke Baare Me – Indian Swimming News

Aaiye smjhte hai un anguish aur deep impact jo ki drowning victims ki families pr padte hai, United Nations General Assembly ne April 2021 ko “Global Drowning Prevention” ke liye resolution pass kiya tha. Pahla World Drowning Prevention Day 2021 mei July 25 ko manaya gya tha. Last year se hi is day ko globally celebrate kiya jane lga hai.

Is day ka main purpose individuals, governments, UN agencies, aur civil society organisations ko collaborate kr ke drowning deaths ko prevent measures provide krne ke liye encourage krna hai.

World Health Organisation ke according, har saal estimated 236,000 logo ki death drowning ki wajah se hoti hai. 1-24 year ke age ke beech ke logo ki ye top 10 causes mei se ek hai. WHO khta h ki low aur middle income countries mei 90% s jyada drowning deaths rivers, lakes, wells, aur domestic water vessels mei hoti hai.

Is day ne India mei bhi importance add ki hai kyuki monsoon season ke drowning ke incidents bdhte huye dikhai dete hai.

Is saal, WHO people ko invite kr rha hai ‘ek kaam krne ke liye’ #DrowningPrevent Day pr lives save krne ke liye.

Drowning Se Lives Ko Save Karne Ke Liye Kuch Suggestions:-

  • Swimming aur safe rescue techniques sikhana chahiye. Ye phli aur most important baat h jo ki sbhi country ko follow krna chahiye.
  • Pre-school children ko water se dur safe places provide karana chahiye capable childcare ke sath.
  • Boating, Shipping aur Ferry jaise safety regulations ko enforce krna.
  • Better flood risk management.

Indian Swimming Ki News And Swimming Se Related Amazing Tips Janne Ke Liye Facebook Par SwimSwam Hindi Ko Jrur Like Kar Le.

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »