IOC Ne Overdue Election Ki Wajah Se Indian Olympic Association Ko Kiya Threaten

“Aane wale weeks mei” agar Indian Olympic Association (IOA) overdue elections nhi hold karata hai toh organisation ko International Olympic Committee ki taraf se ek aur international suspension face krna padd skta hai.

IOC ne IOA ke excutive council se ek recent letter mei kaha ki wo log developments ko “great concern” ke sath follow kr rhe hai. Elections toh last December mei hi hone wale the, but ek court case jisme constitution mei change krne ki baat ho rhi thi un rules ke according jinhe national sports code ke stipulated kiya tha.

“Ye bahot unfortunate hai ki multiple legal proceedings initiate ho chuki hai, jiski wjh se sirf delay hua hai aur unnecessary complications huye hai ab tak,”  IOC ke us letter mei likha tha ye jise IOA ko pass kiya gya tha situation ko resolve kr ke date confirm krne ke liye “bina kisi delay ke.”

Agar IOA aane wale weeks mei election nhi hold krta hai toh, IOC ko protective measures consider krna pdega aisa kaha hai IOC ne. Suspension ke sath IOC funding ki axing aur sath hi Olympic meetings ko attend krne pr ban bhi lagaya jayega. Isse athletes ko Olympics mei Indian flag ke under compete krne ke liye bhi mana kr diya jayega.

Ye phli baar nhi hua hai ki IOC aur IOA mei trouble ho rhi h. 2012 ke end mei IOC ne IOA pr ban lga diya tha q ki ek corruption-tainted official ko secretary general ki post pr elect kr liya gya tha. New officials ki voting ke baad, IOA ne 2014 mei hone wale Winter Olympics ke liye apna status regain kiya.

Action IOA president Anil Khanna ne IOC ke letter ko respond krte huye kha hai, threat suspension “premature” hai aur “thoda sa out of line bhi.”

“Suspension ki premature warning dena wo bhi IOC/OCA ke dwara bina kisi reasonable opportunity dena thoda out of line lgta hai,” Khanna ne likha, last month mei hua inka presidential appointment abhi bhi IOC ke dwara officially acknowledge hona baki hai.

Indian Swimming Ki News And Swimming Se Related Amazing Tips Janne Ke Liye Facebook Par SwimSwam Hindi Ko Jrur Like Kar Le.

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »